SEARCH RESULTS
Showing search results for "maktabo.n"
Sher MATCHES FOR "maktabo.n"
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
mai.n apne shahr se maayuus ho ke lauT aayaa
puraane sog base the na.e makaano.n me.n
Saqi Faruqi
Sher
aaj bhii gaa.nv me.n kuchh kachche makaano.n vaale
ghar me.n ham-saa.e ke faaqa nahii.n hone dete
Meraj Faizabadi
Sher
ai ishq kahii.n le chal ye dair-o-haram chhuuTe.n
in dono.n makaano.n me.n jhag.Daa nazar aataa hai
Muztar Khairabadi
Sher
ahl-e-biinash ko hai tuufaan-e-havaadis maktab
lutma-e-mauj kam az saili-e-ustaad nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
darinde saath rahnaa chaahte hai.n aadmii ke
ghanaa jangal makaano.n tak pahu.nchnaa chaahtaa hai
Daniyal Tareer
Sher
ham ju.De rahte the aabaad makaano.n kii tarah
ab ye baate.n hame.n lagtii hai.n fasaano.n kii tarah
Abbas Tabish
Sher
vo jis ne dekhaa nahii.n ishq kaa kabhii maktab
mai.n us ke haath me.n dil kii kitaab kyaa detaa
Afzal Allahabadi
Sher
shahr KHvaabo.n kaa sulagtaa rahaa aur shahr ke log
be-KHabar so.e hu.e apne makaano.n me.n mile
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
Zia Zameer
Sher
jii KHush hu.aa hai girte makaano.n ko dekh kar
ye shahr KHauf-e-KHud se jigar-chaak to hu.aa
Muneer Niyazi
Sher
hai aur ilm o adab maktab-e-mohabbat me.n
ki hai vahaa.n kaa moallim judaa adiib judaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
letaa huu.n maktab-e-Gam-e-dil me.n sabaq hanuuz
lekin yahii ki raft gayaa aur buud thaa