SEARCH RESULTS
Showing search results for "malaamat"
Sher MATCHES FOR "malaamat"
Sher
Parvez akhtar
Sher
ugal na sa.ng-e-malaamat KHudaa se Dar naaseh
milegaa kyaa tujhe shiisho.n ke TuuT jaane se
Bismil Azimabadi
Sher
Tabish Mehdi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
mat halaak itnaa karo mujh ko malaamat kar kar
nek-naamo tumhe.n kyaa mujh se hai bad-naam se kaam
Hasrat Azimabadi
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
raa.njhaa yahii kahtaa thaa idhar dekhiyo majnuu.n
lailaa kii malaamat hai bahut hiir me.n merii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kyuu.n laGzish-e-paa merii malaamat kaa hadaf hai
jiine kaa saliiqa mujhe baKHshaa hai isii ne
Alqama Shibli
Sher
vo zahr-haa-e-malaamat bhii ha.ns ke pii jaataa
zaraa sii baat kaa barso.n malaal bhii rakhtaa
Musa Majrooh
Sher
harf-e-dushnaam se yuu.n us ne navaazaa ham ko
ye malaamat hii mohabbat kaa sila ho jaise
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
kis liye karte ho tum harf-e-malaamat se gurez
ham kahaa.n sohbat-e-jibriil me.n rahne vaale
Shahid Kamal
Sher
uchhaale jis pe malaamat ke sang logo.n ne
vajuud us kaa muqaddas kitaab saa ubhraa
Abdul Matin Jami
Sher
'mus.hafii' mai.n huu.n ab aur jaama-e-uryaanii hai
thaa kabhii chaak-e-malaamat se garebaa.n aabaad
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
fikr-e-ma.aash maatam-e-dil aur KHayaal-e-yaar
tum sab se ma.azarat ki tabii.at udaas hai
Javed Iqbal
Sher
Krishn Bihari Noor
Sher
na jaane kal ho.n kahaa.n saath ab havaa ke hai.n
ki ham parinde maqaamaat-e-gum-shuda ke hai.n
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ye baat sach hai tumhe.n zulm me.n mahaarat hai
ye baat bhii to haqiiqat hai mai.n nahii.n Dartaa