SEARCH RESULTS
Showing search results for "malii"
Sher MATCHES FOR "malii"
Sher
Farhat Zahid
Sher
Farhat Zahid
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
aa.e the ha.nste khelte mai-KHaane me.n 'firaaq'
jab pii chuke sharaab to sanjiida ho ga.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
ab to utnii bhii mayassar nahii.n mai-KHaane me.n
jitnii ham chho.D diyaa karte the paimaane me.n
Divakar Rahi
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Munawwar Rana
Sher
mai.n mai-kade kii raah se ho kar nikal gayaa
varna safar hayaat kaa kaafii taviil thaa
Abdul Hamid Adam
Sher
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham to tamaam umr tirii hii adaa rahe
ye kyaa hu.aa ki phir bhii hamii.n bevafaa rahe
Jameel Malik
Sher
Mirza Ghalib
Sher
shab ko mai KHuub sii pii sub.h ko tauba kar lii
ri.nd ke ri.nd rahe haath se jannat na ga.ii
Jalal Lakhnavi
Sher
qarz kii piite the mai lekin samajhte the ki haa.n
ra.ng laavegii hamaarii faaqa-mastii ek din
Mirza Ghalib
Sher
aa.nkhe.n dikhlaate ho joban to dikhaa.o saahab
vo alag baa.ndh ke rakkhaa hai jo maal achchhaa hai
Ameer Minai
Sher
'zauq' jo madrase ke big.De hu.e hai.n mullaa
un ko mai-KHaane me.n le aa.o sa.nvar jaa.e.nge