SEARCH RESULTS
Showing search results for "maqaam-e-ibrat"
Sher MATCHES FOR "maqaam-e-ibrat"
Sher
vo hii maqaam-e-'Gaalib'-o-'iqbaal' paa.e.nge
moTii dumo.n ke saamne jo dum hilaa.e.nge
Saghar Khayyami
Sher
laa-makaa.n hai vaaste un kii maqaam-e-buud-o-baash
go ba-zaahir kahne ko kalkatta aur lahore hai
Shah Aasim
Sher
zindagii hai chashm-e-ibrat me.n abhii
kuchh nahii.n to aish-o-ishrat hii sahii
Akbar Haideri Kashmiri
Sher
manzil-e-ibrat hai duniyaa ahl-e-duniyaa shaad hai.n
aisii dil-jam.ii se hotii hai pareshaanii mujhe
Chakbast Braj Narayan
Sher
hai ye duniyaa jaa-e-ibrat KHaak se insaan kii
ban ga.e kitne subuu kitne hii paimaane hu.e
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
mohabbat me.n ye kyaa maqaam aa rahe hai.n
ki manzil pe hai.n aur chale jaa rahe hai.n
Jigar Moradabadi
Sher
jahaa.n pahu.nch ke tumhe.n bhuulnaa munaasib thaa
rah-e-hayaat me.n aise bhii kuchh maqaam aa.e
Mahram Lakhnavi
Sher
maqaam-e-barq jise aasmaa.n bhii kahte hai.n
iraada ab hai vahaa.n apnaa ghar banaane kaa
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
vo bhii maqaam aa.e hai majnuu.n ke baKHt me.n
lailaa dikhaa.ii dene lage har daraKHt me.n
Bhaskar Shukla
Sher
mumkin hai mil hii jaa.e maqaam-e-sukuu.n kahii.n
taa marg ham-rikaab raho zindagii ke saath
Anwar Sabri
Sher
Ummeed Fazli
Sher
maqaam-e-shauq tire qudsiyo.n ke bas kaa nahii.n
unhii.n kaa kaam hai ye jin ke hausle hai.n ziyaad
Allama Iqbal
Sher
maqaam-e-zabt Gam-e-ishq me.n vo paidaa kar
ki tuu KHushii ko na tarse tujhe KHushii tarse