SEARCH RESULTS
Showing search results for "maqaam-e-qarb"
Sher MATCHES FOR "maqaam-e-qarb"
Sher
laa-makaa.n hai vaaste un kii maqaam-e-buud-o-baash
go ba-zaahir kahne ko kalkatta aur lahore hai
Shah Aasim
Sher
Ummeed Fazli
Sher
maqaam-e-zabt Gam-e-ishq me.n vo paidaa kar
ki tuu KHushii ko na tarse tujhe KHushii tarse
Hamid Mukhtar Hamid
Sher
mohabbat me.n ye kyaa maqaam aa rahe hai.n
ki manzil pe hai.n aur chale jaa rahe hai.n
Jigar Moradabadi
Sher
jahaa.n pahu.nch ke tumhe.n bhuulnaa munaasib thaa
rah-e-hayaat me.n aise bhii kuchh maqaam aa.e
Mahram Lakhnavi
Sher
maqaam-e-barq jise aasmaa.n bhii kahte hai.n
iraada ab hai vahaa.n apnaa ghar banaane kaa
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
vo bhii maqaam aa.e hai majnuu.n ke baKHt me.n
lailaa dikhaa.ii dene lage har daraKHt me.n
Bhaskar Shukla
Sher
mumkin hai mil hii jaa.e maqaam-e-sukuu.n kahii.n
taa marg ham-rikaab raho zindagii ke saath
Anwar Sabri
Sher
maqaam-e-shauq tire qudsiyo.n ke bas kaa nahii.n
unhii.n kaa kaam hai ye jin ke hausle hai.n ziyaad
Allama Iqbal
Sher
maqaam-e-vasl to arz-o-samaa ke biich me.n hai
mai.n is zamiin se nikluu.n tuu aasmaa.n se nikal
Abhishek Shukla
Sher
phir masaa.il ke yaziid aa.e hai.n bai'at lene
garm phir ma.arka-e-karb-o-balaa hai mujh me.n
Mehboob Rahi
Sher
rah-e-hayaat me.n shaayad hii vo maqaam aa.e
ki naGma-haa-e-junuu.n par sukuut taarii ho
Anwar Kaifi
Sher
avval avval KHuub dau.Dii kashtii-e-ahl-e-havas
aaKHir aaKHir Duub marne kaa maqaam aa hii gayaa
Natiq Gulavthi
Sher
KHuluus-e-niyat-e-rahbar pe munhasir hai 'aziim'
maqaam-e-ishq bahut duur bhii hai paas bhii hai