SEARCH RESULTS
Showing search results for "maqsad-e-shaa.irii"
Sher MATCHES FOR "maqsad-e-shaa.irii"
Sher
log kahte hai.n ki fann-e-shaa.irii manhuus hai
sher kahte kahte mai.n deputy collector ho gayaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
vahii shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsuus hotii hai
kamii jis kii baraabar umr bhar mahsuus hotii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
maqsad-e-ziist Gam-e-ishq hai sahraa ho ki shahr
baiTh jaa.e.nge jahaa.n chaaho biThaa do ham ko
Ehsan Danish
Sher
log merii Gazlo.n me.n tum ko Dhuu.nD lete hai.n
she'r-o-shaa'irii kab hai daastaa.n tumhaarii hai
Kazim Rizvi
Sher
sunaa hai us ko bhii hai sher o shaa.irii se shaGaf
so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
maqtal-e-vaqt me.n KHaamosh gavaahii kii tarah
dil bhii kaam aayaa hai gumnaam sipaahii kii tarah
Parveen Shakir
Sher
hai aur ilm o adab maktab-e-mohabbat me.n
ki hai vahaa.n kaa moallim judaa adiib judaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
kuchh to tire mausam hii mujhe raas kam aa.e
aur kuchh mirii miTTii me.n baGaavat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
samajhte hai.n shero.n ko bhii narm chaara
Gazaalaan-e-shahrii se hoshyaar rahnaa
Ismail Merathi
Sher
letaa huu.n maktab-e-Gam-e-dil me.n sabaq hanuuz
lekin yahii ki raft gayaa aur buud thaa
Mirza Ghalib
Sher
chhupaataa kyaa hai mu.nh kab tak chhupegaa
tujhe sab shahr-e-qaatil jaantaa hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
mausam-e-gul kaa magar qaafila jaataa hai ki aaj
saare Guncho.n se jo aavaaz-e-jaras aatii hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
yahii rutba hai yahii mansab-e-shaahii meraa
saahibaa tere Gulaamo.n me.n miraa naam rahe