SEARCH RESULTS
Showing search results for "marduud"
Sher MATCHES FOR "marduud"
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
chal saath ki hasrat dil-e-marhuum se nikle
aashiq kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle
Fidvi Lahori
Sher
Allama Iqbal
Sher
tuu agar paas nahii.n hai kahii.n maujuud to hai
tere hone se ba.De kaam hamaare nikle
Ahmad Mushtaq
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
maazii-e-marhuum kii naakaamiyo.n kaa zikr chho.D
zindagii kii fursat-e-baaqii se ko.ii kaam le
Seemab Akbarabadi
Sher
aa.iin-e-javaa.n-mardaa.n haq-go.ii o be-baakii
allaah ke shero.n ko aatii nahii.n ruubaahii
Allama Iqbal
Sher
milegaa manzil-e-maqsuud kaa usii ko suraaG
a.ndherii shab me.n hai chiite kii aa.nkh jis kaa charaaG
Allama Iqbal
Sher
amiir-zaado.n se dillii ke mil na taa-maqduur
ki ham faqiir hu.e hai.n inhii.n kii daulat se
Meer Taqi Meer
Sher
Unknown
Sher
maut us kii hai kare jis kaa zamaana afsos
yuu.n to duniyaa me.n sabhii aa.e hai.n marne ke liye
Mahmood Rampuri
Sher
hazaar chehre hai.n maujuud aadmii Gaa.eb
ye kis KHaraabe me.n duniyaa ne laa ke chho.D diyaa
Shahzad Ahmad
Sher
aurat ko samajhtaa thaa jo mardo.n kaa khilaunaa
us shaKHs ko daamaad bhii vaisaa hii milaa hai
Tanveer Sipra
Sher
Khalid Mahmood
Sher
ye aur baat ki chaahat ke zaKHm gahre hai.n
tujhe bhulaane kii koshish to varna kii hai bahut
Mahmood Shaam
Sher
kis qadar mahduud kar detaa hai Gam insaan ko
KHatm kar detaa hai har ummiid har imkaan ko