SEARCH RESULTS
Showing search results for "maregii"
Sher MATCHES FOR "maregii"
Sher
aaj phir maa.n mujhe maaregii bahut rone par
aaj phir gaa.nv me.n aayaa hai khilaune vaalaa
Nawaz Zafar
Sher
anjaam-e-vafaa ye hai jis ne bhii mohabbat kii
marne kii du.aa maa.ngii jiine kii sazaa paa.ii
Nushur Wahidi
Sher
du.aa ko haat uThaate hu.e laraztaa huu.n
kabhii du.aa nahii.n maa.ngii thii maa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Sher
mai.n ne maa.ngii thii ujaale kii faqat ek kiran
tum se ye kis ne kahaa aag lagaa dii jaa.e
Zakia Ghazal
Sher
maa.ngii thii ek baar du.aa ham ne maut kii
sharminda aaj tak hai.n miyaa.n zindagii se ham
Unknown
Sher
Fani Badayuni
Sher
kahaa.n milegii misaal merii sitamgarii kii
ki mai.n gulaabo.n ke zaKHm kaa.nTo.n se sii rahaa huu.n
Mohsin Naqvi
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
mai.n ne din raat KHudaa se ye du.aa maa.ngii thii
ko.ii aahaT na ho dar par mire jab tuu aa.e
Bashir Badr
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
Izhar Asar
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
marg hii sehat hai us kii marg hii us kaa ilaaj
ishq kaa biimaar kyaa jaane davaa kyaa chiiz hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
thaa zindagii me.n marg kaa khaTkaa lagaa hu.aa
u.Dne se pesh-tar bhii miraa rang zard thaa