SEARCH RESULTS
Showing search results for "marg-e-shaadii-o-gam"
Sher MATCHES FOR "marg-e-shaadii-o-gam"
Sher
ye roz-marra ke kuchh vaaqi.aat-e-shaadii-o-Gam
mire KHudaa yahii insaa.n kii zindagaanii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
Saail Dehlvi
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
uTThii hai jab se dil me.n mire ishq kii tara.ng
shaadii o Gam hai.n aage mire dono.n ek ra.ng
Shah Aasim
Sher
tamannaa jo na rakhtaa ho jhukaa.e vo nazar kis se
use shaadii o Gam kis kaa use suud o zarar kis se
Tasveer Dehlvi
Sher
'qaa.em' hayaat-o-marg-e-buz-o-gaav me.n hai.n naf.a
is mardumii ke shor pe kis kaam kaa huu.n mai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
har vaqt fikr-e-marg-e-Gariibaana chaahiye
sehhat kaa ek pahluu mariizaana chaahiye
Majeed Amjad
Sher
maatam-e-marg-e-tamannaa na samajh ai naadaa.n
zindagii bol rahii hai mire afsaane me.n
Shauq Asar Rampuri
Sher
bol kis mo.D pe huu.n kashmakash-e-marg-o-hayaat
aise aalam me.n kahaa.n chho.D diyaa hai mujh ko
Mubarak Shamim
Sher
rah-navard-e-bayaabaan-e-Gam sabr kar sabr kar
kaarvaa.n phir mile.nge baham sabr kar sabr kar
Nasir Kazmi
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
marg-e-aashiq pe farishta maut kaa badnaam thaa
vo ha.nsii roke hu.e baiThaa thaa jis kaa kaam thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
duniyaa sabab-e-shorish-e-Gam puuchh rahii hai
ik mohr-e-KHamoshii hai ki ho.nTo.n pe lagii hai
Ejaz Siddiqi
Sher
aah marg-e-aadmii par aadmii ro.e bahut
ko.ii bhii royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye