SEARCH RESULTS
Showing search results for "mariye"
Sher MATCHES FOR "mariye"
Sher
juu.n mauj haath maariye kyaa bahr-e-ishq me.n
saahil 'nasiir' duur hai aur dam nahii.n rahaa
Shah Naseer
Sher
haa.n Thiik hai mai.n apnii anaa kaa mariiz huu.n
aaKHir mire mizaaj me.n kyuu.n daKHl de ko.ii
Jaun Eliya
Sher
maraz-e-ishq jise ho use kyaa yaad rahe
na davaa yaad rahe aur na du.aa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
jo chaahiye so maa.ngiye allaah se 'amiir'
us dar pe aabruu nahii.n jaatii savaal se
Ameer Minai
Sher
Allama Iqbal
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
aane lage hai.n vo bhii ayaadat ke vaaste
ai chaaraagar mariiz ko achchhaa kiyaa na jaa.e
Hameed Jalandhari
Sher
kis se jaa kar maa.ngiye dard-e-mohabbat kii davaa
chaara-gar ab KHud hii bechaare nazar aane lage
Shakeel Badayuni
Sher
saavan ek mahiine 'qaisar' aa.nsuu jiivan bhar
in aa.nkho.n ke aage baadal be-auqaat lage
Qaisarul Jafri
Sher
sun.ne vaale ro diye sun kar mariiz-e-Gam kaa haal
dekhne vaale taras khaa kar du.aa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
na maa.ngiye jo KHudaa se to maa.ngiye kis se
jo de rahaa hai usii se savaal hotaa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
har vaqt fikr-e-marg-e-Gariibaana chaahiye
sehhat kaa ek pahluu mariizaana chaahiye
Majeed Amjad
Sher
ishq me.n maarka-e-qalb-o-nazar kyaa kahiye
choT lagtii hai kahii.n dard kahii.n hotaa hai
Hafeez Banarasi
Sher
na ho ki qurb hii phir marg-e-rabt ban jaa.e
vo ab mile to zaraa us se faasla rakhnaa