SEARCH RESULTS
Showing search results for "marsiye"
Sher MATCHES FOR "marsiye"
Sher
marsiye dil ke ka.ii kah ke diye logo.n ko
shahr-e-dillii me.n hai sab paas nishaanii us kii
Meer Taqi Meer
Sher
jo chaahiye so maa.ngiye allaah se 'amiir'
us dar pe aabruu nahii.n jaatii savaal se
Ameer Minai
Sher
kis se jaa kar maa.ngiye dard-e-mohabbat kii davaa
chaara-gar ab KHud hii bechaare nazar aane lage
Shakeel Badayuni
Sher
sun.ne vaale ro diye sun kar mariiz-e-Gam kaa haal
dekhne vaale taras khaa kar du.aa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
na maa.ngiye jo KHudaa se to maa.ngiye kis se
jo de rahaa hai usii se savaal hotaa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
jaane kyaa kyaa zulm parinde dekh ke aate hai.n
shaam Dhale pe.Do.n par marsiya-KHvaanii hotii hai
Afzal Khan
Sher
hamaare baa'd us marg-e-javaa.n ko kaun samjhegaa
iraada hai ki apnaa marsiya bhii aap hii likh le.n
Khalilur Rahman Azmi
Sher
ham pe jo guzrii hai bas us ko raqam karte hai.n
aap-biitii kaho yaa marsiya-KHvaanii kah lo
Khalilur Rahman Azmi
Sher
jism aisaa ghul gayaa hai mujh mariiz-e-ishq kaa
dekh kar kahte hai.n sab taaviiz hai baazuu nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
kis ko Gam hai jo kare marsiya-KHvaanii merii
ro rahii hai mire marqad pe javaanii merii
Fani Badayuni
Sher
hijr ke din to hu.e KHatm ba.Dii dhuum ke saath
vasl kii raat hai kyuu.n marsiya-KHvaanii kare.n ham
Salim Saleem
Sher
juu.n mauj haath maariye kyaa bahr-e-ishq me.n
saahil 'nasiir' duur hai aur dam nahii.n rahaa
Shah Naseer
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
marsiya huu.n mai.n Gulaamo.n kii KHush-ilhaamii kaa
shaah ke haq me.n qasiida nahii.n hone vaalaa
Khursheed Akbar
Sher
tuKHm-e-raihaa.n khilaa tabiib mujhe
ya.anii huu.n mai.n mariiz-e-hazrat-e-KHaal
Maatam Fazl Mohammad
Sher
labo.n pe jaan hai ik dam kaa aur mehmaa.n hai
mariiz-e-ishq-o-mohabbat kaa tere haal ye hai