SEARCH RESULTS
Showing search results for "martaba-e-sadq"
Sher MATCHES FOR "martaba-e-sadq"
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqii buland
tujh ko to muft logo.n ne mash.huur kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
sher me.n saath ravaanii ke ma.aanii bhii to bhar
ai 'sadaa' qaid tuu kuuze me.n samundar kar de
Sada Ambalvi
Sher
aasaan nahii.n marhala-e-tark-e-vafaa bhii
muddat hu.ii ham is ko bhulaane me.n lage hai.n
Hafeez Banarasi
Sher
phir marhala-e-KHvaab-e-bahaaraa.n se guzar jaa
mausam hai suhaanaa to garebaa.n se guzar jaa
Dil Ayubi
Sher
apnii hii nigaaho.n kaa ye nazzaara kahaa.n tak
is marhala-e-sa.ii-e-tamaashaa se guzar jaa
Fani Badayuni
Sher
safar kaa marhala-e-saKHt hii Ganiimat thaa
Thahar ga.e to badan kii thakan ziyaada hu.ii
Naseem Sahar
Sher
har marhala-e-Gam me.n milii is se tasallii
har mo.D pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai
Kausar Niyazi
Sher
abhii sumuum ne maanii kahaa.n nasiim se haar
abhii to ma.arka-haa-e-chaman kuchh aur bhii hai.n
Moin Ahsan Jazbi
Sher
Said Iqbal Saadi
Sher
talab-e-aashiq-e-saadiq me.n asar hotaa hai
go zaraa der me.n hotaa hai magar hotaa hai
Azad Ansari
Sher
ajiib log the KHaamosh rah ke jiite the
dilo.n me.n hurmat-e-sa.ng-e-sadaa ke hote hu.e
Zubair Rizvi
Sher
hai.n kushtagaan-e-sadaa aaKHirii kinaare par
ai KHaamushii tirii tarsiil hone vaalii hai
Moid Rasheedi
Sher
canvas par hai ye kis kaa paikar-e-harf-o-sadaa
ik numuud-e-aarzuu jo be-nishaa.n hai aur bas
Ashar Najmi
Sher
ik ajab kashmakash-e-saut-o-sadaa hai mujh me.n
mai.n ne aavaaz bhii dii aur kahaa kuchh bhii nahii.n