SEARCH RESULTS
Showing search results for "masaavii"
Sher MATCHES FOR "masaavii"
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
aurat ke KHudaa do hai.n haqiiqii o majaazii
par us ke liye ko.ii bhii achchhaa nahii.n hotaa
Zehra Nigaah
Sher
ye masaa.il-e-tasavvuf ye tiraa bayaan 'Gaalib'
tujhe ham valii samajhte jo na baada-KHvaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
safar ke saath safar ke na.e masaa.il the
gharo.n kaa zikr to raste me.n chhuuT jaataa thaa
Waseem Barelvi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
himmat hai to buland kar aavaaz kaa alam
chup baiThne se hal nahii.n hone kaa mas.ala
Zia Jalandhari
Sher
tum aasmaa.n kii bulandii se jald lauT aanaa
hame.n zamii.n ke masaa.il pe baat karnii hai
Shayar Jamali
Sher
mujhe manaa.o nahii.n meraa mas.ala samjho
KHafaa nahii.n mai.n pareshaan huu.n zamaane se
Liyaqat Ali Aasim
Sher
maz.hab kii KHaraabii hai na aKHlaaq kii pastii
duniyaa ke masaa.ib kaa sabab aur hii kuchh hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
merii ik chhoTii sii koshish tujh ko paane ke liye
ban ga.ii hai mas.ala saare zamaane ke liye
Zafar Gorakhpuri
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
mujhe manaa.o nahii.n meraa mas.ala samjho
KHafaa nahii.n mai.n pareshaan huu.n zamaane se