SEARCH RESULTS
Showing search results for "masiih"
Sher MATCHES FOR "masiih"
Sher
ab zamii.n par ko.ii gautam na mohammad na masiih
aasmaano.n se na.e log utaare jaa.e.n
Ahmad Faraz
Sher
masiih-o-KHizr kii umre.n nisaar ho.n us par
vo ek lamha jo yaaro.n ke darmiyaa.n guzre
Majeed Amjad
Sher
maze jo maut ke aashiq bayaa.n kabhuu karte
masiih o KHizr bhii marne kii aarzuu karte
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
shaayad aa jaa.e kabhii dekhne vo rashk-e-masiih
mai.n kisii aur se is vaaste achchhaa na hu.aa
Anwar Taban
Sher
masiih-e-vaqt sahii ham ko us se kyaa lenaa
kabhii mile bhii to kuchh dard-e-dil ba.Dhaa lenaa
Farigh Bukhari
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
be-dam hu.e biimaar davaa kyuu.n nahii.n dete
tum achchhe masiihaa ho shifaa kyuu.n nahii.n dete
Faiz Ahmad Faiz
Sher
fikr-e-ma.aash ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
is zindagii me.n ab ko.ii kyaa kyaa kiyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
mere hone me.n kisii taur se shaamil ho jaa.o
tum masiihaa nahii.n hote ho to qaatil ho jaa.o
Irfan Siddiqi
Sher
fikr-e-ma.aash maatam-e-dil aur KHayaal-e-yaar
tum sab se ma.azarat ki tabii.at udaas hai
Javed Iqbal
Sher
is ga.e saal ba.De zulm hu.e hai.n mujh par
ai na.e saal masiihaa kii tarah mil mujh se
Sarfraz Nawaz
Sher
KHatm ho jaa.e.n jinhe.n dekh ke biimaari-e-dil
Dhuu.nD kar laa.e.n kahaa.n se vo masiihaa chehre
Jameel Malik
Sher
sochaa hai ki ab kaar-e-masiihaa na kare.nge
vo KHuun bhii thuukegaa to parvaa na kare.nge
Jaun Eliya
Sher
ai masiihaa kabhii tuu bhii to use dekhne aa
tere biimaar ko sunte hai.n ki aaraam nahii.n