SEARCH RESULTS
Showing search results for "masiihaa"
Sher MATCHES FOR "masiihaa"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
be-dam hu.e biimaar davaa kyuu.n nahii.n dete
tum achchhe masiihaa ho shifaa kyuu.n nahii.n dete
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mere hone me.n kisii taur se shaamil ho jaa.o
tum masiihaa nahii.n hote ho to qaatil ho jaa.o
Irfan Siddiqi
Sher
is ga.e saal ba.De zulm hu.e hai.n mujh par
ai na.e saal masiihaa kii tarah mil mujh se
Sarfraz Nawaz
Sher
KHatm ho jaa.e.n jinhe.n dekh ke biimaari-e-dil
Dhuu.nD kar laa.e.n kahaa.n se vo masiihaa chehre
Jameel Malik
Sher
sochaa hai ki ab kaar-e-masiihaa na kare.nge
vo KHuun bhii thuukegaa to parvaa na kare.nge
Jaun Eliya
Sher
ai masiihaa kabhii tuu bhii to use dekhne aa
tere biimaar ko sunte hai.n ki aaraam nahii.n
Kausar Niyazi
Sher
na jaane kaisaa masiihaa thaa chaahtaa kyaa thaa
tamaam shahr ko biimaar dekh kar KHush thaa
Ameer Qazalbash
Sher
mujhe ye saare masiihaa aziiz hai.n lekin
ye kah rahe hai.n ki mai.n tum se faasla rakkhuu.n
Saud Usmani
Sher
qabr me.n raahat se so.e the na thaa mahshar kaa KHauf
ba.az aa.e ai masiihaa ham tire e.ajaaz se
Bhartendu Harishchandra
Sher
mai.n ne us ko apnaa masiihaa maan liyaa
saaraa zamaana jis ko qaatil kahtaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
ejaaz-e-jaa.n-dahii hai hamaare kalaam ko
zinda kiyaa hai ham ne masiihaa ke naam ko
Momin Khan Momin
Sher
biimaar-e-Gam kii chaaragarii kuchh zaruur hai
vo dard dil me.n de ki masiihaa kahe.n jise
Aasi Ghazipuri
Sher
jab tishnagii ba.Dhii to masiihaa na thaa ko.ii
jab pyaas bujh ga.ii to samundar milaa mujhe
Akhtar Saeedi
Sher
nabz-e-biimaar jo ai rashk-e-masiihaa dekhii
aaj kyaa aap ne jaatii hu.ii duniyaa dekhii