SEARCH RESULTS
Showing search results for "maslan"
Sher MATCHES FOR "maslan"
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de
Iftikhar Arif
Sher
kachche makaan jitne the baarish me.n bah ga.e
varna jo meraa dukh thaa vo dukh umr bhar kaa thaa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
aa.iin-e-javaa.n-mardaa.n haq-go.ii o be-baakii
allaah ke shero.n ko aatii nahii.n ruubaahii
Allama Iqbal
Sher
charaaG-e-raahguzar laakh taabnaak sahii
jalaa ke apnaa diyaa raushnii makaan me.n laa
Akbar Hyderabadi
Sher
tabaah kar ga.ii pakke makaan kii KHvaahish
mai.n apne gaa.nv ke kachche makaan se bhii gayaa
Shahid Kabir
Sher
yuu.n tirii yaad me.n din raat magan rahtaa huu.n
dil dh.Daknaa tire qadmo.n kii sadaa lagtaa hai
Shahzad Ahmad
Sher
na jaane kaun saa aaseb dil me.n bastaa hai
ki jo bhii Thahraa vo aaKHir makaan chho.D gayaa
Parveen Shakir
Sher
Jameel Mazhari
Sher
mire vajuud ke andar hai ik qadiim makaan
jahaa.n se mai.n ye udaasii udhaar letii huu.n
Asima Tahir
Sher
aasmaa.n apne iraado.n me.n magan hai lekin
aadmii apne KHayaalaat liye phirtaa hai
Anwar Masood
Sher
hai kaamyaabii-e-mardaa.n me.n haath aurat kaa
magar tuu ek hii aurat pe inhisaar na kar