SEARCH RESULTS
Showing search results for "mataa-e-ishq"
Sher MATCHES FOR "mataa-e-ishq"
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
tuu jo talvaar se nahlaa.e lahuu me.n mujh ko
Gusl-e-sehhat hu.aa bhii ishq kii biimaarii se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
kisii se ishq ho jaane ko afsaana nahii.n kahte
ki afsaane mata-e-kuucha-o-baazaar hote hai.n
Syed Amin Ashraf
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
Arshad Kamal
Sher
kuchh is tarah se luTii hai mataa-e-diida-o-dil
ki ab kisii se bhii zikr-e-vafaa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
rah-e-vafaa me.n luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai terii mohabbat kaa haq adaa mai.n ne