SEARCH RESULTS
Showing search results for "matkaa"
Sher MATCHES FOR "matkaa"
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Azhar Faragh
Sher
shahr KHaalii hai kise eid mubaarak kahiye
chal diye chho.D ke makka bhii madiina vaale
Akhtar Usman
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ishq me.n maarka-e-qalb-o-nazar kyaa kahiye
choT lagtii hai kahii.n dard kahii.n hotaa hai
Hafeez Banarasi
Sher
vo maathaa kaa matl.a ho ki ho.nTho.n ke do misre
bachpan se Gazal hii merii mahbuuba rahii hai
Bashir Badr
Sher
kyuu.n mataa-e-dil ke luT jaane kaa ko.ii Gam kare
shahr-e-dillii me.n to aise vaaqiye hote rahe
Zubair Rizvi
Sher
kuchh is tarah se luTii hai mataa-e-diida-o-dil
ki ab kisii se bhii zikr-e-vafaa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
vo maarka ki aaj bhii sar ho nahii.n sakaa
mai.n thak ke muskuraa diyaa jab ro nahii.n sakaa
Ameer Imam
Sher
KHud ko poshiida na rakkho band kaliyo.n kii tarah
phuul kahte hai.n tumhe.n sab log to mahkaa karo
Manzar Bhopali
Sher
jo apnii zaat se baahar na aa sakaa ab tak
vo pattharo.n ko mataa-e-havaas kyaa degaa
Mohsin Naqvi
Sher
bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Wali Uzlat
Sher
sau baar chaman mahkaa sau baar bahaar aa.ii
duniyaa kii vahii raunaq dil kii vahii tanhaa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
mataa-e-dard parakhnaa to bas kii baat nahii.n
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane