SEARCH RESULTS
Showing search results for "mauj-e-karam"
Sher MATCHES FOR "mauj-e-karam"
Sher
ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii me.n
ki us ke baa'd se tuufaan-e-tishnagii kam hai
Shahid Siddiqui
Sher
ai mauj-e-KHush-KHiraam zaraa tez tez chal
bantii hai sat.h-e-aab kinaara kabhii kabhii
Aziz Tamannai
Sher
fareb-e-abr-e-karam bhii ba.Daa sahaaraa hai
balaa se naKHl-e-tamannaa KHizaa.n-rasiida nahii.n
Yagana Changezi
Sher
banaa letaa hai mauj-e-KHuun-e-dil se ik chaman apnaa
vo paaband-e-qafas jo fitratan aazaad hotaa hai
Asghar Gondvi
Sher
Jaun Eliya
Sher
du.aa.e.n maa.ngii hai.n saaqii ne khol kar zulfe.n
basaan-e-dast-e-karam abr-e-dajla-baar baras
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
kal bazm me.n sab par nigah-e-lutf-o-karam thii
ik merii taraf tuu ne sitamgaar na dekhaa
Shaikh Mohammad Roshan Joshish Lakhnavi
Sher
zindagii naam isii mauj-e-mai-e-naab kaa hai
mai-kade se jo uThe daar-o-rasan tak pahu.nche
Kamal Ahmad Siddiqi
Sher
sharh-e-andoh-e-mohabbat pe tabassum kaisaa
ye ko.ii zaaviya-e-lutf-o-karam ho to kaho
Naseer Koti
Sher
zulf-e-sumbul nik.hat-e-gul mauj-e-sabza mauj-e-aab
baaG me.n ko.ii jagah KHaalii na dekhii daam se
Jaleel Manikpuri
Sher
Ajiz Matvi
Sher
Mah Laqa Chanda
Sher
Aziz Tamannai
Sher
saarii shafaq sameT ke suuraj chalaa gayaa
ab kyaa rahaa hai mauj-e-shab-e-taar ke sivaa
Anwar Siddiqui
Sher
bikhar ke chhuuT na jaa.uu.n tirii giraft se mai.n
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-adaa le jaa
Alimullah Hali
Sher
azaab-e-mauj-o-talaatum mujhe qubuul magar
KHudaa bachaa.e azaab-e-fareb-e-saahil se