SEARCH RESULTS
Showing search results for "mausam-e-bahaar"
Sher MATCHES FOR "mausam-e-bahaar"
Sher
hai mausam-e-bahaar kaa aaGaaz qahr hai
ab bhii agar chaman me.n havaa mo'tadil na ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
qafas se duur sahii mausam-e-bahaar to hai
asiiro aa.o zaraa zikr-e-aashiyaa.n ho jaa.e
Siraj Lakhnavi
Sher
kahte hai.n andaliib-e-giraftaar mujh ko dekh
ummiid jiivne kii nahii.n is bahaar me.n
Tek Chand Bahar
Sher
jab kabhii kisii gul par ik zaraa nikhaar aayaa
kam-nigaah ye samjhe mausam-e-bahaar aayaa
Moin Ahsan Jazbi
Sher
usii ko dasht-e-KHizaa.n ne kiyaa bahut paamaal
jo phuul sab se hasii.n mausam-e-bahaar me.n thaa
Junaid Hazin Lari
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Gulnar Aafreen
Sher
Rajinder Manchanda Bani
Sher
tamhiid thii junuu.n kii garebaa.n hu.aa jo chaak
ya.anii ye KHair-maqdam-e-fasl-e-bahaar thaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
jo merii chashm ke parde shariik ho jaate
kamaal-e-daaman-e-abr-e-bahaar ba.Dh jaataa
Rasheed Lakhnavi
Sher
fazaa tabassum-e-sub.h-e-bahaar thii lekin
pahu.nch ke manzil-e-jaanaa.n pe aa.nkh bhar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaane.n
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahu.nche
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
karte hai.n arbaab-e-dil andaaza-e-josh-e-bahaar
meraa daaman dekh kar meraa garebaa.n dekh kar
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
kyaa sun chuke hai.n aamad-e-fasl-e-bahaar haath
jaate hai.n suu-e-jeb jo be-iKHtiyaar haath