SEARCH RESULTS
Showing search results for "mauzuu"
Sher MATCHES FOR "mauzuu"
Sher
kitne lahjo.n ke Gilaafo.n me.n chhupaa.uu.n tujh ko
shahr vaale miraa mauzuu-e-suKHan jaante hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
mauzuu-e-guftuguu to mirii jaa.n kuchh aur thaa
dauraan-e-guftuguu me.n terii baat aa ga.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
hai ek baat jo mauzuu-e-guftuguu bantii
mile jo aap to kam-baKHt yaad hii na rahii
Raza Naqvi Vahi
Sher
sochaa thaa ki us bazm me.n KHaamosh rahe.nge
mauzuu-e-suKHan ban ke rahii kam-suKHanii bhii
Mohsin Bhopali
Sher
KHud apne hone kaa har ik nishaa.n miTaa Daalaa
'shanaas' phir kahii.n mauzuu-e-guftuguu hu.e ham
Faheem Shanas Kazmi
Sher
sunaa hai aaj kaa mauzuu-e-majlis-e-tanqiid
vo sher hai ki abhii mai.n ne jo kahaa bhii nahii.n
Anwar Masood
Sher
Ram Narayan Mauzun
Sher
Zubair Farooq
Sher
kii hai ustaad-e-azal ne ye rubaa.ii mauzuu.n
chaar unsur se khule ma.anii-e-pinhaa.n ham ko
Shah Naseer
Sher
kii hai ustaad-e-azal ne ye rubaa.ii mauzuu.n
chaar unsur ke sivaa aur hai insaan me.n kyaa
Shah Naseer
Sher
har gaam pe hii saa.e se ik misra.a-e-mauzuu.n
gar chand qadam chaliye to kyaa KHuub Gazal ho
Goya Faqir Mohammad
Sher
ham dikhaa.e.nge tamaasha tujh ko phir sarv-e-chaman
dil se gar sarzad hamaare naala-e-mauzuu.n hu.aa
Shah Naseer
Sher
hote hote na hu.aa misra-e-ra.ngii.n mauzuu.n
band kyuu.n ho gayaa KHuun-e-jigar aate aate
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
Badr-e-Alam Khalish
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
bait-bahsii na kar ai faaKHta gulshan me.n ki aaj
misra-e-sarv se mauzuu.n hai miraa misra-e-aah
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
kyaa isii ne ye kiyaa matla-e-abruu mauzuu.n
tum jo kahte ho suKHan-go hai ba.Dii merii aa.nkh