SEARCH RESULTS
Showing search results for "mayank"
Sher MATCHES FOR "mayank"
Sher
barbaadiyo.n kaa sog manaanaa fuzuul thaa
barbaadiyo.n kaa jashn manaataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
tumhe.n manaane kaa mujh ko KHayaal kyaa aa.e
ki apne aap se ruuThaa hu.aa to mai.n bhii huu.n
Ashfaq Husain
Sher
be-sabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai
ham KHafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
agar taqdiir siidhii hai to KHud ho jaa.oge siidhe
KHafaa baiThe raho tum ko manaane kaun aataa hai
Muztar Khairabadi
Sher
tujhe na maane ko.ii tujh ko is se kyaa majruuh
chal apnii raah bhaTakne de nukta-chiino.n ko
Majrooh Sultanpuri
Sher
ab mirii baat jo maane to na le ishq kaa naam
tuu ne dukh ai dil-e-naakaam bahut saa paayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
kisii kii yaad manaane me.n iid guzregii
so shahr-e-dil me.n bahut duur tak udaasii hai
Ishaq Virdag
Sher
bichha.Dte vaqt anaa darmiyaan thii varna
manaanaa dono.n ne ik duusre ko chaahaa thaa
Ateeq Anzar
Sher
ham tiraa hijr manaane ke liye nikle hai.n
shahr me.n aag lagaane ke liye nikle hai.n
Jaun Eliya
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
jo sun sako to ye sab daastaa.n tumhaarii hai
hazaar baar jataayaa magar nahii.n maane
Zehra Nigaah
Sher
ruuThe logo.n ko manaane me.n maza aataa hai
jaan kar aap ko naaraaz kiyaa hai mai.n ne