SEARCH RESULTS
Showing search results for "maz.hab-e-ishq"
Sher MATCHES FOR "maz.hab-e-ishq"
Sher
Nooh Narvi
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ishq vo maz.hab-e-avval hai ki dil kaafii hai
yuu.n tilaavat ko sahiifa nahii.n maa.ngaa ham ne
Moid Rasheedi
Sher
tuu jo talvaar se nahlaa.e lahuu me.n mujh ko
Gusl-e-sehhat hu.aa bhii ishq kii biimaarii se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
rindaan-e-ishq chhuT ga.e maz.hab kii qaid se
ghanTa rahaa gale me.n na zunnaar rah gayaa
Rind Lakhnavi
Sher
suno hinduu musalmaano ki faiz-e-ishq se 'haatim'
hu.aa aazaad qaid-e-maz.hab-o-mashrab se ab faariG
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
dekh kar mujh ko tujhe kyuu.n hai tahayyur naaseh
mashrab-e-ishq hai ye maz.hab-e-islaam nahii.n