SEARCH RESULTS
Showing search results for "mazaamii.n"
Sher MATCHES FOR "mazaamii.n"
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
lagaa rahaa huu.n mazaamiin-e-nau ke phir ambaar
KHabar karo mere KHirman ke KHoshaa-chiino.n ko
Meer Anees
Sher
kyuu.n sar khapaa rahe ho mazaamii.n kii khoj me.n
kar lo jadiid shaa.erii lafzo.n ko jo.D kar
Mohammad Alvi
Sher
'aKHtar' guzarte lamho.n kii aahaT pe yuu.n na chau.nk
is maatamii juluus me.n ik zindagii bhii hai
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
muflis ke badan ko bhii hai chaadar kii zaruurat
ab khul ke mazaaro.n pe ye elaan kiyaa jaa.e
Qateel Shifai
Sher
mazmuun suujhte hai.n hazaaro.n na.e na.e
qaasid ye KHat nahii.n mire Gam kii kitaab hai
Nizam Rampuri
Sher
umiid kaa ye rang hai hujuum-e-ra.nj-o-yaas me.n
ki jis tarah ko.ii hasii.n ho maatamii libaas me.n
Bekhud Mohani
Sher
Meer Anees
Sher
Mirza Ghalib
Sher
armaa.n tamaam umr ke siine me.n dafn hai.n
ham chalte phirte log mazaaro.n se kam nahii.n
Unknown
Sher
aadmii pahchaanaa jaataa hai qayaafa dekh kar
KHat kaa mazmuu.n bhaa.np lete hai.n lifaafa dekh kar
Unknown
Sher
dosto english zaruurii hai hamaare vaaste
fail hone ko bhii ik mazmuun honaa chaahiye
Anwar Masood
Sher
Hafeez Merathi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
allaah-rii nazaakat-e-jaanaa.n ki sher me.n
mazmuu.n ba.ndhaa kamar kaa to dard-e-kamar hu.aa
Ameer Minai
Sher
ishq ke mazmuu.n the jin me.n vo risaale kyaa hu.e
ai kitaab-e-zindagii tere havaale kyaa hu.e