SEARCH RESULTS
Showing search results for "mazra.a"
Sher MATCHES FOR "mazra.a"
Sher
mazra-e-duniyaa me.n daanaa hai to Dar kar haath Daal
ek din denaa hai tujh ko daane daane kaa hisaab
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to tab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
Khumar Barabankavi
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
saahil ke sukuu.n se kise inkaar hai lekin
tuufaan se la.Dne me.n mazaa aur hii kuchh hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ulfat me.n baraabar hai vafaa ho ki jafaa ho
har baat me.n lazzat hai agar dil me.n mazaa ho
Ameer Minai
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
ba.Daa maza ho jo mahshar me.n ham kare.n shikva
vo minnato.n se kahe.n chup raho KHudaa ke liye
Dagh Dehlvi
Sher
patthar to hazaaro.n ne maare the mujhe lekin
jo dil pe lagaa aa kar ik dost ne maaraa hai
Sohail Azeemabadi
Sher
zahr miiThaa ho to piine me.n mazaa aataa hai
baat sach kahiye magar yuu.n ki haqiiqat na lage
Fuzail Jafri
Sher
aadat ke baa'd dard bhii dene lagaa mazaa
ha.ns ha.ns ke aah aah kiye jaa rahaa huu.n mai.n