SEARCH RESULTS
Showing search results for "mehraab"
Sher MATCHES FOR "mehraab"
Sher
KHauf aisaa hai ki duniyaa ke sataa.e hu.e log
kabhii mimbar kabhii mehraab se Dar jaate hai.n
Abbas Rizvi
Sher
kabhii to mimbar-o-mehraab tak bhii aa.egaa
ye qahr qahr ke asbaab tak bhii aa.egaa
Saeedullah Qureshi
Sher
Allama Iqbal
Sher
mehraab-e-aabruu-e-but-e-kaafir-adaa ko dekh
ka.aba kaa shaiKH baa.ndh ke ehraam rah gayaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
mehraab-e-ibaadat KHam-e-abru hai buto.n kaa
kar baiThe hai.n ka.abe ko musalmaan faraamosh
Mubarak Azimabadi
Sher
sajda kartaa huu.n mai.n mehraab samajh kar us ko
ishq ne tere kiyaa hai mujhe shamshiir-parast
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
jo sham.a hai ka.abe kii vahii nuur kaa sho.ala
qindiil-e-sanam-KHaana kii mehraab me.n chamkaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dil miraa zulf setii chhuuT pha.nsaa abruu me.n
kufr kuu.n tark kiyaa maa.il-e-mehraab hu.aa
Siraj Aurangabadi
Sher
tirii mehraab me.n abruu kii ye KHaal
kidhar se aa gayaa masjid me.n hinduu
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
mehraab-e-abruvaa.n kuu.n vasma hu.aa hai zevar
kyuu.n kar kahe.n na un kuu.n ab ziinatul-masaajid
Abroo Shah Mubarak
Sher
vahaa.n bhii ko.ii nahii.n thaa KHaraab-haalo.n kaa
mai.n ho ke mimbar-o-mehraab se nikal aayaa
Shehzad Anjum Burhani
Sher
aa.e to yuu.n ki jaise hamesha the mehrbaan
bhuule to yuu.n ki goyaa kabhii aashnaa na the
Faiz Ahmad Faiz
Sher
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
mai.n jaagtaa huu.n tiraa KHvaab dekhne ke liye
Azhar Inayati
Sher
aashiqii me.n 'miir' jaise KHvaab mat dekhaa karo
baavle ho jaa.oge mahtaab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se