SEARCH RESULTS
Showing search results for "mezbaan"
Sher MATCHES FOR "mezbaan"
Sher
mujhe bulaa ke yahaa.n aap chhup gayaa ko.ii
vo mehmaa.n huu.n jise mezbaa.n nahii.n miltaa
Fani Badayuni
Sher
kam-zarf mezbaan kii daa'vat nahii.n qubuul
tho.Dii bahut pilaa ke jataanaa hai baar baar
Anwar Shuoor
Sher
aa.e to yuu.n ki jaise hamesha the mehrbaan
bhuule to yuu.n ki goyaa kabhii aashnaa na the
Faiz Ahmad Faiz
Sher
bahut se log the mehmaan mere ghar lekin
vo jaantaa thaa ki hai ehtimaam kis ke liye
Parveen Shakir
Sher
Mirza Ghalib
Sher
raste me.n mil gayaa to shariik-e-safar na jaan
jo chhaa.nv mehrbaa.n ho use apnaa ghar na jaan
Parveen Shakir
Sher
dushmano.n kii dushmanii mere liye aasaan thii
KHarch aayaa dosto.n kii mezbaanii me.n bahut
Mohammad Yusuf Papa
Sher
Talib Baghpati
Sher
Dartaa huu.n dekh kar dil-e-be-aarzuu ko mai.n
sunsaan ghar ye kyuu.n na ho mehmaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
dil se agar kabhii tiraa armaan jaa.egaa
ghar ko lagaa ke aag ye mehmaan jaa.egaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kis ko mehrbaa.n kahiye kaun mehrbaa.n apnaa
vaqt kii ye baate.n hai.n vaqt ab kahaa.n apnaa
Natiq Gulavthi
Sher
kab vo aa.e.nge ilaahii mire mehmaa.n ho kar
kaun din kaun baras kaun mahiina hogaa