SEARCH RESULTS
Showing search results for "mezbaan"
Ghazal MATCHES FOR "mezbaan"
Ghazal
aap kaa mehmaan huu.n mai.n aap mere mezbaan
so mujhe zahr-e-muravvat to pilaate jaa.iye
Jaun Eliya
Ghazal
bas ik nigaah mirii raah dekhtii hotii
ye saaraa shahr miraa mezbaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Ghazal
tuu aaj mere ghar me.n jo mehmaa.n hai iid hai
tuu ghar kaa mezbaa.n na hu.aa kuchh nahii.n hu.aa
Jaun Eliya
Ghazal
mehmaan mezbaa.n hii ko bahkaa ke le u.Daa
KHushbuu-e-gul bhii ghuum rahii hai sabaa ke saath
Abdul Hamid Adam
Ghazal
ajnabii shahr me.n ik luqme ko tarsaa hu.aa mai.n
mezbaa.n jismo.n ne samjhaa nahii.n mehmaan mujhe
Anjum Saleemi
Ghazal
kitnii zahmat jheltaa hai ek muflis mezbaan
ghar kii bad-halii ko mehmaa.n se chhupaane ke liye
Abbas Dana
Ghazal
gulo.n ne aabla-paa.ii kii ko.ii daad na dii
chaman me.n KHaar hii chhaalo.n ke mezbaan hu.e
Amir Usmani
Ghazal
mujhe bulaa ke yahaa.n aap chhup gayaa ko.ii
vo mehmaa.n huu.n jise mezbaa.n nahii.n miltaa
Fani Badayuni
Ghazal
laKHt-e-dil khaane ko hai KHuun-e-jigar piine ko hai
mezbaan-e-dahr ne kii KHuub mehmaanii mirii
Tilok Chand Mahroom
Ghazal
na Thaharnaa hii munaasib na uTh ke jaanaa hii
balaa ke ghar me.n hame.n mezbaan bhuul ga.e
Jameel Yusuf
Ghazal
Gairo.n ke saath aap bhii uThte hai.n bazm se
lo mezbaan ban ga.e mehmaaniyo.n me.n ham
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
daavat baGair kaise ghusuu.n jab ki gate par
haatho.n me.n mezbaan ke DanDaa dikhaa.ii de
Pagal Adilabadi
Ghazal
sajaa ke nok-e-palak tak viraasato.n kaa jamaal
saqaafat-e-vatan-e-mezbaa.n ke saath rahe
Ashfaq Husain
Ghazal
barkate.n jo uTh ga.ii hai.n aaj dastar-KHvaan se
mezbaa.n Darne lage hai.n aamad-e-mehmaan se