SEARCH RESULTS
Showing search results for "miTaane"
Sher MATCHES FOR "miTaane"
Sher
tum miTaa sakte nahii.n dil se miraa naam kabhii
phir kitaabo.n se miTaane kii zaruurat kyaa hai
Unknown
Sher
dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
mai.n ne dekhe hai.n ka.ii rang zamaane vaale
Saeed Rahi
Sher
ye kis ne kahaa hai mirii taqdiir banaa de
aa apne hii haatho.n se miTaane ke liye aa
Hasrat Jaipuri
Sher
ret par chho.D gayaa naqsh hazaaro.n apne
kisii paagal kii tarah naqsh miTaane vaalaa
Wazir Agha
Sher
diivaar hai duniyaa ise raaho.n se haTaa de
har rasm-e-mohabbat ko miTaane ke liye aa
Hasrat Jaipuri
Sher
miTaane vaale hamaaraa hii ghar miTaanaa thaa
chaman me.n ek se ek achchhaa aashiyaanaa thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
rahegaa kis kaa hissa beshtar mere miTaane me.n
ye baaham faisla pahle zamiin o aasmaa.n kar le.n
Barq Dehlvi
Sher
Ibn e Insha
Sher
pairvii se mumkin hai kab rasaa.ii manzil tak
naqsh-e-paa miTaane ko gard-e-raah kaafii hai
Ambareen Haseeb ambar
Sher
apne suurat-gar se puuchhuu.n mai.n agar maqduur ho
kyaa banaayaa thaa mujhe tuu ne miTaane ke liye
Mirza Hadi Ruswa
Sher
hamaare daur kii taariikiyaa.n miTaane ko
sahaab-e-dard se KHushiyo.n kaa chaa.nd ubhraa hai
Khalid Suhail
Sher
Faheem Hairat Raheemi
Sher
aa jaa.e ko.ii ranj miTaane ko kahii.n se
aflaak se utre yaa nikal aa.e zamii.n se
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dushmanii laakh sahii KHatm na kiije rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye