SEARCH RESULTS
Showing search results for "minnat"
Sher MATCHES FOR "minnat"
Sher
vahshat me.n bhii minnat-kash-e-sahraa nahii.n hote
kuchh log bikhar kar bhii tamaashaa nahii.n hote
Zehra Nigaah
Sher
Allama Iqbal
Sher
un kahii baat ke sau ruup kahii baat kaa ek
kabhii sun vo bhii jo minnat-kash-e-goyaa.ii nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
saaqii hamaarii tauba tujh par hai kyuu.n gavaara
minnat nahii.n to zaalim tarGiib yaa ishaara
Mohammad Rafi Sauda
Sher
fanaa hone me.n soz-e-sham.a kii minnat-kashii kaisii
jale jo aag me.n apnii use parvaana kahte hai.n
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
haa.e us minnat-kash-e-vahm-o-gumaa.n kii justujuu
zindagii jis ko na paa.e jo na paa.e zindagii
Shaukat Pardesi
Sher
mai.n ne minnat kabhii kii ho to bataa de.n zaahid
kaun se roz sifaarish ko gunahgaar aayaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
itnii rusvaa.iyaa.n sah lii hai.n to ik ye bhii sahii
ham ko manzuur he minnat-kash-e-darbaa.n honaa
Jameeluddin Aali
Sher
KHushaamad taabedaarii minnat-o-KHidmat sujuud-e-husn
azal se diidanii hai bebasii-o-aajizii-e-ishq