SEARCH RESULTS
Showing search results for "mish.al-ba-kaf"
Sher MATCHES FOR "mish.al-ba-kaf"
Sher
fasl-e-bahaar sehn-e-chaman yaar-e-mai-ba-kaf
kyuu.n zaahido haraam hai piinaa sharaab kaa
Abdul Wadood Uhad
Sher
Ameen Tirmizi
Sher
vahii.n bahaar-ba-kaf qaafile lapak ke chale
jahaa.n jahaa.n tire naqsh-e-qadam ubharte rahe
Aziz Tamannai
Sher
Sifar Sharma
Sher
tesha-ba-kaf ko aa.ina-gar kah diyaa gayaa
jo aib thaa use bhii hunar kah diyaa gayaa
Anjum Irfani
Sher
tuu bhii to haTaa jism ke suuraj se a.ndhere
ye mahkii hu.ii raat bhii mahtaab-ba-kaf hai
Izhar Asar
Sher
vo mere saamne KHanjar-ba-kaf kha.Daa thaa 'zeb'
mai.n dekhtaa rahaa us ko ki be-naqaab thaa vo
Zeb Ghauri
Sher
tarkash-o-daam kii haajat hii nahii.n hai tum ko
tum ho sayyaad to KHud said hai fitraak-ba-kaf
Ameen Tirmizi
Sher
jab tiraa qaamat-e-sho.ala-numaa pahu.nchaa sar-e-bazm
saare hii shaiKH kha.De ho ga.e iimaan-ba-kaf
Ameen Tirmizi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
sar-ba-kaf hind ke jaa.n-baaz-e-vatan la.Dte hai.n
teG-e-nau le saf-e-dushman me.n ghuse pa.Dte hai.n
Barq Dehlvi
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
ushshaaq jaa.n-ba-kaf kha.De hai.n tere aas-paas
ai dil-rubaa-e-Gaarat-e-jaa.n apne fan me.n aa
Faez Dehlvi
Sher
vo shaayad ko.ii sachchii baat kah de
use phir bad-gumaa.n karnaa pa.Daa hai
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
dil kii har baat kah ga.e aa.nsuu
gir ke aa.nkho.n se rah ga.e aa.nsuu
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
Sher
hamaare KHvaab salaamat rahe.n tumhaare saath
ye baat kaafii hai duniyaa kii nii.nd u.Daane ko
Imran Aami
Sher
dil me.n uma.ng aur iraada ko.ii to ho
be-kaif zindagii me.n tamaashaa ko.ii to ho
Khaleel Mamoon
Sher
alfaaz kii giraft se hai maavaraa hanuuz
ik baat kah gayaa vo magar kitne kaam kii