SEARCH RESULTS
Showing search results for "misl-e-parvaana"
Sher MATCHES FOR "misl-e-parvaana"
Sher
misl-e-parvaana fidaa har ek kaa dil ho gayaa
yaar jis mahfil me.n baiThaa sham-e-mahfil ho gayaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Abdul Majeed Salik
Sher
na sahii jism magar KHaak to u.Dtii phirtii
kaash jalte na kabhii baal-o-par-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
simTaa tiraa KHayaal to gul-ra.ng ashk thaa
phailaa to misl-e-dasht-e-vafaa phailtaa gayaa
Hafiz Taib
Sher
dil ko tire firaaq kii aarzuu yaad rah ga.ii
din vo mohabbato.n ke bhii misl-e-rah-e-safar ga.e
Kishwar Naheed
Sher
shagufta baaG-e-suKHan hai hamii.n se ai 'saabir'
jahaa.n me.n misl-e-nasiim-e-bahaar ham bhii hai.n
Fazal Husain Sabir
Sher
yuu.n to ham the yuu.nhii kuchh misl-e-anaar-o-mahtaab
jab hame.n aag dikhaa.e to tamaashaa niklaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
nikal gayaa mirii aa.nkho.n se misl-e-KHvaa-o-KHayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
Mazaq Badayuni
Sher
saarii maKHluuq tamaashe ke liye aa.ii thii
kaun thaa siikhne vaalaa hunar-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
dekh le bulbul o parvaana kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai
Ameer Minai
Sher
bujh ga.ii sham.a kaTii raat ga.ii sab mahfil
ab akele hii kaTegaa safar-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
sham.a jalte hii yahaa.n hashr kaa manzar hogaa
phir ko.ii paa na sakegaa KHabar-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
sham.a-ruu.o.n kii mohabbat kaa jo dam bharte hai.n
ek muddat vo abhii bai.at-e-parvaana kare.n