SEARCH RESULTS
Showing search results for "mo.ajaza"
Sher MATCHES FOR "mo.ajaza"
Sher
ye mo.ajaza bhii kisii kii du.aa kaa lagtaa hai
ye shahr ab bhii usii be-vafaa kaa lagtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
fan me.n na mo.ajaza na karaamaat chaahiye
dil ko lage bas aisii ko.ii baat chaahiye
Kaleem Aajiz
Sher
khilnaa har ek phuul kaa 'asGar' hai mo.ajaza
murjhaatii hai kalii bhii bahaaro.n ke darmiyaa.n
Asghar Velori
Sher
ko.ii to mo.ajaza aisaa bhii ho apnii mohabbat me.n
tire inkaar se iqraar kii suurat nikal aa.e
Arshad Lateef
Sher
ye mere jazb-e-nihaa.n kaa hai mo.ajaza shaayad
ki dil me.n jhaa.nk ke dekhuu.n to tuu hii tuu nikle
Khawar Ludhianvi
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
mujh ko ye aarzuu vo uThaa.e.n naqaab KHud
un ko ye intizaar taqaazaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
ishq kaa zauq-e-nazaara muft me.n badnaam hai
husn KHud be-taab hai jalva dikhaane ke liye
Asrarul Haq Majaz
Sher
dafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz ko
aur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
ye mere ishq kii majbuuriyaa.n ma.aaz-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
ro.e.n na abhii ahl-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko KHaraab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
bahut mushkil hai duniyaa kaa sa.nvarnaa
tirii zulfo.n kaa pech-o-KHam nahii.n hai
Asrarul Haq Majaz
Sher
kyaa kyaa hu.aa hai ham se junuu.n me.n na puuchhiye
uljhe kabhii zamii.n se kabhii aasmaa.n se ham