SEARCH RESULTS
Showing search results for "mo.ajaza"
Ghazal MATCHES FOR "mo.ajaza"
Ghazal
sunaa hai us ko bhii hai sher o shaa.irii se shaGaf
so ham bhii mo.ajize apne hunar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
gum-shuda bastii musaafir lauT kar aate nahii.n
mo.ajaza aisaa magar baar-e-digar hone ko hai
Parveen Shakir
Ghazal
be-amaa.n thaa aap lekin mo.ajaza hai ye 'riyaaz'
haala-e-shafqat thaa us ko aasraa dete hu.e
Riaz Majeed
Ghazal
kal tere tishnagaa.n se ye kyaa mo.ajaza hu.aa
dariyaa pe ho.nT rakkhe to dariyaa tamaam-shud
Hasan Abbas Raza
Ghazal
iraada ho aTal to mo.ajaza aisaa bhii hotaa hai
diye ko zinda rakhtii hai havaa aisaa bhii hotaa hai
Zafar Gorakhpuri
Ghazal
har dushman-e-vafaa mujhe mahbuub ho gayaa
jo mo.ajaza hu.aa vo bahut KHuub ho gayaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
ye mo.ajaza hai ki mai.n raat kaaT detaa huu.n
na jaane kaise tilismaat kaaT detaa huu.n
Moid Rasheedi
Ghazal
kabhii bulaa to sahii apne aastaane par
mujhe bhii apnaa ko.ii mo.ajaza dikhaa to sahii
Jawayd Anwar
Ghazal
raah-e-talab me.n aaj ye kyaa mo.ajaza hu.aa
KHvaab-e-adam me.n jo bhii gayaa jaagtaa hu.aa
Jameel Malik
Ghazal
dard kaa zinda rahnaa pyaas kaa mo.ajaza hai
diivaane hii ye ban-baas kamaate hai.n
Farigh Bukhari
Ghazal
aql tasliim nahii.n kartii pe dil maantaa hai
vo ko.ii mo.ajaza hai vahm hai yaa jaaduu hai
Khalid Sharif
Ghazal
mo.ajaza ban ga.ii kyaa aaj mirii tishna-labii
ek qatre ke tale kitne samundar nikle
Masooda Hayat
Ghazal
tumhaarii ruuh 'bushraa' qaid hai tan ke qafas me.n
ise aazaad karnaa mo.ajaza aasaa.n nahii.n hai
Bushra Farrukh
Ghazal
kisii kii raah-e-munavvar me.n mo.ajaza ye hu.aa
hamaare naqsh-e-kaf-e-paa bhii jagmagaane lage
Sultan Akhtar
Ghazal
ye mo.ajaza thaa yaqiinan tirii mohabbat kaa
jo auj-e-fikr-o-taKHayyul mire bayaan me.n thaa
Aatish Bahawalpuri
Ghazal
qaalib-e-jism me.n jaa.n aa ga.ii goyaa 'shiblii'
mo.ajaza fikr ne apnii ye dikhaayaa ham ko