wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha
vo mere qalb ko chhedegā kab gumān meñ thā
jo ek tiir mire dost kī kamān meñ thā
vo zer-e-sāya-e-altāf-e-bāġhbān meñ thā
jo āshiyāna zad-e-barq-e-be-amān meñ thā
figār lai se huā merī sīna-e-nai bhī
nafas nafas tirī chāhat kā imtihān meñ thā
ye mo.ajaza thā yaqīnan tirī mohabbat kā
jo auj-e-fikr-o-taḳhayyul mire bayān meñ thā
vo jis ne dhuup kī parchhā.īñ tak nahīñ daabī
use samajhte ho har lamha sā.ebān meñ thā
muḳhālifoñ ko bhī apnā banā liyā tū ne
ajiib tarah kā jaadū tirī zabān meñ thā
niyāz-e-ishq ne āḳhir uThā diyā 'ātish'
vo ek parda sā haa.el jo darmiyān meñ thā
wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha
jo ek tir mere dost ki kaman mein tha
wo zer-e-saya-e-altaf-e-baghban mein tha
jo aashiyana zad-e-barq-e-be-aman mein tha
figar lai se hua meri sina-e-nai bhi
nafas nafas teri chahat ka imtihan mein tha
ye moajaza tha yaqinan teri mohabbat ka
jo auj-e-fikr-o-taKHayyul mere bayan mein tha
wo jis ne dhup ki parchhain tak nahin dabi
use samajhte ho har lamha saeban mein tha
muKHalifon ko bhi apna bana liya tu ne
ajib tarah ka jadu teri zaban mein tha
niyaz-e-ishq ne aaKHir uTha diya 'atish'
wo ek parda sa hael jo darmiyan mein tha
- Book : Jada-e-manzil (Pg. 15)
- Author : Atish Bahawalpuri
- Publication : Nirali Duniya Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.