SEARCH RESULTS
Showing search results for "mujhse"
Sher MATCHES FOR "mujhse"
Sher
log kahte hai.n ki tuu ab bhii KHafaa hai mujh se
terii aa.nkho.n ne to kuchh aur kahaa hai mujh se
Jan Nisar Akhtar
Sher
yuu.n lage dost tiraa mujh se KHafaa ho jaanaa
jis tarah phuul se KHushbuu kaa judaa ho jaanaa
Qateel Shifai
Sher
milne kii tarah mujh se vo pal bhar nahii.n miltaa
dil us se milaa jis se muqaddar nahii.n miltaa
Naseer Turabi
Sher
'shaad' Gair-mumkin hai shikva-e-butaa.n mujh se
mai.n ne jis se ulfat kii us ko baa-vafaa paayaa
Shaad Aarfi
Sher
Afzal Khan
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Mushtaq Husain Khan Hashmi Mushtaq
Sher
Allama Iqbal
Sher
mujh se nafrat hai agar us ko to iz.haar kare
kab mai.n kahtaa huu.n mujhe pyaar hii kartaa jaa.e
Iftikhar Naseem
Sher
mujh se biga.D ga.e to raqiibo.n kii ban ga.ii
Gairo.n me.n baT rahaa hai miraa e'tibaar aaj
Ahmad Husain Mail
Sher
Azm Bahzad
Sher
itnaa be-taab na ho mujh se bichha.Dne ke liye
tujh ko aa.ankho.n se nahii.n dil se judaa karnaa hai
Anjum Saleemi
Sher
Nasir Shahzad
Sher
kabhii sahar to kabhii shaam le gayaa mujh se
tumhaaraa dard ka.ii kaam le gayaa mujh se