SEARCH RESULTS
Showing search results for "muqallid"
Sher MATCHES FOR "muqallid"
Sher
'haalii' suKHan me.n 'sheftaa' se mustafiid hai
'Gaalib' kaa mo'taqid hai muqallid hai 'miir' kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
KHuubaan-e-rozgaar muqallid terii hai.n sab
jo chiiz tuu kare so vo paave rivaaj aaj
Insha Allah Khan Insha
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
mai.n muqallid nahii.n huu.n rivaayaat kaa
merii raahe.n baGaavat se mashruut hai.n
Obaidullah Abdi
Sher
khii.ncho na kamaano.n ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to aKHbaar nikaalo
Akbar Allahabadi
Sher
ek ho jaa.e.n to ban sakte hai.n KHurshiid-e-mubii.n
varna in bikhre hu.e taaro.n se kyaa kaam bane
Abul Mujahid Zahid
Sher
vaqt ke saath badalnaa to bahut aasaa.n thaa
mujh se har vaqt muKHaatib rahii Gairat merii
Ameer Qazalbash
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Hasrat Mohani
Sher
tundii-e-baad-e-muKHaalif se na ghabraa ai uqaab
ye to chaltii hai tujhe uu.nchaa u.Daane ke liye
Syed sadiq husain
Sher
hai eid kaa din aaj to lag jaa.o gale se
jaate ho kahaa.n jaan mirii aa ke muqaabil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mujh ko kaafii hai bas ik teraa mu.aafiq honaa
saarii duniyaa bhii muKHaalif ho to kyaa hotaa hai
Ranjoor Azimabadi
Sher
Gazab to ye hai muqaabil kha.Daa hai vo mere
ki jis se meraa ta'alluq hai KHuu.n ke rishte kaa
Tab Aslam
Sher
tamaam umr KHushii kii talaash me.n guzrii
tamaam umr taraste rahe KHushii ke liye