SEARCH RESULTS
Showing search results for "murGaa"
Sher MATCHES FOR "murGaa"
Sher
suuraj ko cho.nch me.n liye murGaa kha.Daa rahaa
khi.Dkii ke parde khii.nch diye raat ho ga.ii
Nida Fazli
Sher
KHudaa kii itnii ba.Dii kaa.enaat me.n mai.n ne
bas ek shaKHs ko maa.ngaa mujhe vahii na milaa
Bashir Badr
Sher
kisii sabab se agar boltaa nahii.n huu.n mai.n
to yuu.n nahii.n ki tujhe sochtaa nahii.n huu.n mai.n
Iftikhar Mughal
Sher
hazaar baar jo maa.ngaa karo to kyaa haasil
du.aa vahii hai jo dil se kabhii nikaltii hai
Dagh Dehlvi
Sher
maa.ngaa kare.nge ab se du.aa hijr-e-yaar kii
aaKHir to dushmanii hai asar ko du.aa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
ye kis ne ham se lahuu kaa KHiraaj phir maa.ngaa
abhii to so.e the maqtal ko surKH-ruu kar ke
Mohsin Naqvi
Sher
Kishwar Naheed
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
vaqaar-e-KHuun-e-shahiidaan-e-karbalaa kii qasam
yaziid morcha jiitaa hai ja.ng haaraa hai
Divakar Rahi
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
marg hii sehat hai us kii marg hii us kaa ilaaj
ishq kaa biimaar kyaa jaane davaa kyaa chiiz hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
chand yaado.n ke diye tho.Dii tamanna kuchh KHvaab
zindagii tujh se ziyaada nahii.n maa.ngaa ham ne
Moid Rasheedi
Sher
mai.n ek pal ke ra.nj-e-faraavaa.n me.n kho gayaa
murjhaa ga.e zamaane mire intizaar me.n
Majeed Amjad
Sher
ham ne us chehre ko baa.ndhaa nahii.n mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us ruKH ke mumaasil baa.ndhaa