SEARCH RESULTS
Showing search results for "murde"
Sher MATCHES FOR "murde"
Sher
aanaa na mirii qabr pe hamraah-e-raqiibaa.n
murde ko musalmaa.n ke jalaayaa nahii.n karte
Unknown
Sher
aa.nkh se qatl kare lab se jalaa.e murde
sho.abada-baaz kaa adnaa saa karishma dekho
Rind Lakhnavi
Sher
jab jiite-jii na puuchhaa puuchhe.nge kyaa mare par
murde kii ruuh ko bhii ghar se nikaalte hai.n
Shad Lakhnavi
Sher
parda-e-gosh-e-asiiraa.n na hu.ii ik shab-e-garm
paa.nv kis murde kaa yaa-rab mirii zanjiir me.n thaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
diyaa hai naam kafan-chor jab se tum ne mujhe
puraanii qabro.n ke murde mirii talaash me.n hai.n
Pagal Adilabadi
Sher
phuul kii pattii se kaT saktaa hai hiire kaa jigar
mard-e-naadaa.n par kalaam-e-narm-o-naazuk be-asar
Allama Iqbal
Sher
muriid-e-saada to ro ro ke ho gayaa taa.ib
KHudaa kare ki mile shaiKH ko bhii ye taufiiq
Allama Iqbal
Sher
nigaah-e-ishq dil-e-zinda kii talaash me.n hai
shikaar-e-murda sazaa-vaar-e-shaahbaaz nahii.n
Allama Iqbal
Sher
afsurda-dil ke vaaste kyaa chaa.ndnii kaa lutf
lipTaa pa.Daa hai murda saa goyaa kafan ke saath
Qadr Bilgrami
Sher
Ehtisham ul Haq Siddiqui
Sher
Aabid Adeeb
Sher
piir-e-muGaa.n ke paas vo daaruu hai jis se 'zauq'
naamard mard mard-e-javaa.n-mard ho gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
yahaa.n to rasm hai zindo.n ko dafn karne kii
kisii bhii qabr se murda kahaa.n nikaltaa hai
Khursheed Akbar
Sher
ek bose se muraad-e-dil-e-naashaad to do
kuchh na do haath se par mu.nh se mirii daad to do