SEARCH RESULTS
Showing search results for "murg"
Sher MATCHES FOR "murg"
Sher
misaal ye mirii koshish kii hai ki murG-e-asiir
kare qafas me.n faraaham KHas aashiyaa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
Sarfaraz Shahid
Sher
shab vasl kii bhii chain se kyuu.nkar basar kare.n
jab yuu.n nigaahbaanii murG-e-sahar kare.n
Shefta Mustafa Khan
Sher
rasm is ghar kii nahii.n daad kisuu kii de ko.ii
shor-o-GauGaa na kar ai murG-e-giraftaar abas
Qayem Chaandpuri
Sher
sayyaad ke jigar me.n kare thaa sinaa.n kaa kaam
murG-e-qafas ke sar pe ye ehsaan-e-naala thaa
Shah Naseer
Sher
dil sadaa ta.Dpe hai meraa murG-e-bismil kii tarah
yaa ki siikhii murG-e-bismil ne mire dil kii tarah
Roy Sarb Sukh Diwana
Sher
umr sayyaad kii guzrii isii jaasuusii me.n
gul ko naama na kare murG-e-giraftaar-e-ravaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
haa.e 'taalib' dekhne ko us kii suurat ke liye
murG-e-dil ta.Dpe hai kaisaa u.D ke milnaa chaahiye
Major Julian Feliz Talib
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
marg hii sehat hai us kii marg hii us kaa ilaaj
ishq kaa biimaar kyaa jaane davaa kyaa chiiz hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
thaa zindagii me.n marg kaa khaTkaa lagaa hu.aa
u.Dne se pesh-tar bhii miraa rang zard thaa
Mirza Ghalib
Sher
har vaqt fikr-e-marg-e-Gariibaana chaahiye
sehhat kaa ek pahluu mariizaana chaahiye
Majeed Amjad
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
na ho ki qurb hii phir marg-e-rabt ban jaa.e
vo ab mile to zaraa us se faasla rakhnaa