SEARCH RESULTS
Showing search results for "murtad"
Sher MATCHES FOR "murtad"
Sher
duusro.n kii baat aa.ii to payambar thaa vo shaKHs
apnii baarii par mohabbat se hii murtad ho gayaa
Latif Shah Shahid
Sher
aafat to hai vo naaz bhii andaaz bhii lekin
martaa huu.n mai.n jis par vo adaa aur hii kuchh hai
Ameer Minai
Sher
ye Thiik hai nahii.n martaa ko.ii judaa.ii me.n
KHudaa kisii ko kisii se magar judaa na kare
Qateel Shifai
Sher
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
ab aur der na kar hashr barpaa karne me.n
mirii nazar tire diidaar ko tarastii hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
Saghar Azmi
Sher
chale the jis kii taraf vo nishaan KHatm hu.aa
safar adhuuraa rahaa aasmaan KHatm hu.aa
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
dushman-e-jaa.n hii sahii dost samajhtaa huu.n use
bad-du.aa jis kii mujhe ban ke du.aa lagtii hai
Murtaza Barlas
Sher
jo ho sake to chale aa.o aaj merii taraf
mile bhii der hu.ii aur jii udaas bhii hai
Azeem Murtaza
Sher
ibtidaa vo thii ki jiine ke liye martaa thaa mai.n
intihaa ye hai ki marne kii bhii hasrat na rahii
Mahirul Qadri
Sher
sab ko duniyaa kii havas KHvaar liye phirtii hai
kaun phirtaa hai ye murdaar liye phirtii hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Mumtaz Gurmani
Sher
manzil milii muraad milii mudda.aa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
Seemab Akbarabadi
Sher
har ek saa.ns mujhe khii.nchtii hai us kii taraf
ye kaun mere liye be-qaraar rahtaa hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
kaisaa insaa.n taras rahaa hai jiine ko
kaise saahil par ik machhlii zinda hai