SEARCH RESULTS
Showing search results for "mushaa.ira"
Sher MATCHES FOR "mushaa.ira"
Sher
na baat dil kii sunuu.n mai.n na dil sune merii
ye sard ja.ng hai apne hii ik mushiir ke saath
Faheem Jogapuri
Sher
'iqbaal' kii navaa se musharraf hai go 'na.iim'
urdu ke sar pe 'miir' kii Gazlo.n kaa taaj hai
Hasan Naim
Sher
har-chand ho mushaahida-e-haq kii guftuguu
bantii nahii.n hai baada-o-saaGar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
Gazal kahii hai ko.ii bhaa.ng to nahii.n pii hai
mushaa.ire me.n tarannum se kyuu.n sunaa.uu.n mai.n
Mohammad Alvi
Sher
payambaro.n ne kahaa thaa ki jhuuT haaregaa
magar ye dekhiye apnaa mushaahida kyaa hai
Hasan Naim
Sher
masarrato.n ne to chaahaa thaa dil me.n aa jaa.e.n
hujuum-e-Gam ne magar un ko raasta na diyaa
Mushir Jhanjhanvi
Sher
vahii suluuk zamaane ne mere saath kiyaa
kiyaa thaa jaisaa musharraf ne be-naziir ke saath
Zafar Kamali
Sher
vo sun sake.n ko.ii unvaa.n isii liye ham ne
badal badal ke unhe.n daastaa.n sunaa.ii hai
Mushir Jhanjhanvi
Sher
KHat diijiyo chhupaa ke mile vo agar kahii.n
lenaa na mere naam ko ai naama-bar kahii.n