SEARCH RESULTS
Showing search results for "musht"
Sher MATCHES FOR "musht"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
ik silsila havas kaa hai insaa.n kii zindagii
is ek musht-e-KHaak ko Gam do-jahaa.n ke hai.n
Chakbast Braj Narayan
Sher
ek musht-e-KHaak aur vo bhii havaa kii zad me.n hai
zindagii kii bebasii kaa isti.aara dekhnaa
Parveen Shakir
Sher
kis bebasii ke saath basar kar rahaa hai umr
insaan musht-e-KHaak kaa ehsaas liye hu.e
Nushur Wahidi
Sher
aadmii kyaa vo na samjhe jo suKHan kii qadr ko
nutq ne haivaa.n se musht-e-KHaak ko insaa.n kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
aavargaan-e-ishq kaa puuchhaa jo mai.n nishaa.n
musht-e-Gubaar le ke sabaa ne u.Daa diyaa
Meer Taqi Meer
Sher
ijz-o-niyaaz apnaa apnii taraf hai saaraa
is musht-e-KHaak ko ham masjuud jaante hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
Muzaffar Warsi
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
jannat-e-suufiyaa nisaar dahr kii musht-e-KHaak par
aashiq-e-arz-e-paak ko daavat-e-laa-makaa.n na de
Firaq Gorakhpuri
Sher
aaho.n ke shole jis jaa uThte the 'miir' se shab
vaa.n jaa ke sub.h dekhaa musht-e-Gubaar paayaa
Meer Taqi Meer
Sher
kahne ko musht-e-par kii asiirii to thii magar
KHaamosh ho gayaa hai chaman boltaa hu.aa
Saqib Lakhnavi
Sher
Suroor Jahanabadi
Sher
tufail-e-ruuh miraa jism-e-zaar baaqii hai
hu.aa ke dam se ye musht-e-Gubaar baaqii hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
jab chaahe tuu jalaa de mire musht-e-ustuKHvaa.n
kis din kahaa mai.n ai nafas-e-aatishii.n nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
uf ye daraaz-dastii-e-armaan-e-musht-e-KHaak
mahmil me.n gard pa.Dtii hai lailaa kahaa.n rahe
Ijtiba Rizvi
Sher
Soz Hoshiarpuri
Sher
ishq kaa zauq-e-nazaara muft me.n badnaam hai
husn KHud be-taab hai jalva dikhaane ke liye