SEARCH RESULTS
Showing search results for "muttal.a"
Sher MATCHES FOR "muttal.a"
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
mujhe dost kahne vaale zaraa dostii nibhaa de
ye mutaalba hai haq kaa ko.ii iltijaa nahii.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
ilaahii ek Gam-e-rozgaar kyaa kam thaa
ki ishq bhej diyaa jaan-e-mubtalaa ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
mohabbat ek dam dukh kaa mudaavaa kar nahii.n detii
ye titlii baiThtii hai zaKHm par aahista aahista
Abbas Tabish
Sher
Ahmad Faraz
Sher
himmat hai to buland kar aavaaz kaa alam
chup baiThne se hal nahii.n hone kaa mas.ala
Zia Jalandhari
Sher
gavaahii kaise TuuTtii mu.aamla KHudaa kaa thaa
miraa aur us kaa raabta to haath aur du.aa kaa thaa
Parveen Shakir
Sher
Zafar Iqbal
Sher
mujhe manaa.o nahii.n meraa mas.ala samjho
KHafaa nahii.n mai.n pareshaan huu.n zamaane se
Liyaqat Ali Aasim
Sher
kahte hai.n mere dost miraa haal dekh kar
dushman ko bhii KHudaa na kare mubtalaa-e-ishq