SEARCH RESULTS
Showing search results for "muusaa-e-mahram"
Sher MATCHES FOR "muusaa-e-mahram"
Sher
na rahii be-KHudi-e-shauq me.n itnii bhii KHabar
hijr achchhaa hai ki 'mahruum' visaal achchhaa hai
Tilok Chand Mahroom
Sher
hame.n bhii hotii kisii roz hasrat-e-diidaar
jo koh-e-tuur pe muusaa ga.e nahii.n hote
Mahwar Sirsivi
Sher
'mullaa' banaa diyaa hai ise bhii mahaaz-e-ja.ng
ik sulh kaa payaam thii urdu zabaa.n kabhii
Anand Narayan Mulla
Sher
laa.o to qatl-naama miraa mai.n bhii dekh luu.n
kis kis kii mohr hai sar-e-mahzar lagii hu.ii
Unknown
Sher
haa.n ye to bataa ai dil-e-mahruum-e-tamannaa
ab bhii ko.ii hotaa hai ki armaa.n nahii.n hotaa
Natiq Gulavthi
Sher
hai mudda.aa-e-ishq hii duniyaa-e-mudda.aa
ye mudda.aa na ho to ko.ii mudda.aa na ho
Hafeez Jalandhari
Sher
KHaakistar-e-jaa.n ko mirii mahkaa.e thaa lekin
juuhii kaa vo paudhaa mire aa.ngan me.n nahii.n thaa
Zeb Ghauri
Sher
marne ke baa'd ko.ii pashemaa.n hu.aa to kyaa
maatam-kada jo gor-e-Gariibaa.n hu.aa to kyaa
Zaki kakorvi
Sher
haalat ke taGayyur par ho maatam-e-maazii kyuu.n
ik vo bhii zamaana thaa ik ye bhii zamaanaa hai
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
hargiz na mire mahram-e-hamraaz hu.e tum
aa.iine me.n apne hii nazar-baaz hu.e tum
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
kha.Daa huu.n der se mai.n arz-e-mudda.aa ke liye
idhar bhii ek nazar kiijiye KHudaa ke liye
Unknown
Sher
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
Ejaz Ansari
Sher
Sarvat Husain
Sher
ek ek kar ke log bichha.Dte chale ga.e
ye kyaa hu.aa ki vaqfa-e-maatam nahii.n milaa
Saqi Faruqi
Sher
sidq-o-safaa-e-qalb se mahruum hai hayaat
karte hai.n bandagii bhii jahannam ke Dar se ham