SEARCH RESULTS
Showing search results for "muzmahil"
Sher MATCHES FOR "muzmahil"
Sher
fazaa udaas hai rut muzmahil hai mai.n chup huu.n
jo ho sake to chalaa aa kisii kii KHaatir tuu
Ahmad Faraz
Sher
kaun hai tujh saa jo baa.nTe mirii din bhar kii thakan
muzmahil raat hai bistar kaa badan dukhtaa hai
Jamuna Parsad Rahi
Sher
jaa.n muzmahil udaas nazar chehra sogvaar
aise to us kii bazm me.n jaayaa na jaa.e gaa
Mahmood Abdul Qadeer
Sher
ham ne us chehre ko baa.ndhaa nahii.n mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us ruKH ke mumaasil baa.ndhaa
Iftikhar Mughal
Sher
ham ne bhii zulmato.n ko miTaayaa hai apne taur
suuraj ke saath saath hamaaraa diyaa bhii hai
Muzammil Abbas Shajar
Sher
zamiin-o-arsh ke baaham ta'alluq ke tanaazur me.n
zamiin-o-arsh kaa idGaam ho jaane se Dartaa huu.n
Ali Muzammil
Sher
ye kis liye ai zamaane tirii kare taqliid
'shajar' kaa rizq-e-suKHan karbalaa se aataa hai
Muzammil Abbas Shajar
Sher
gadaa-e-shaah-e-najaf huu.n so mere kaase se
jahaa.n ko charKH-e-suKHan ke sabhii pate mile.nge
Muzammil Abbas Shajar
Sher
kaun le daad-e-masiihaa.ii mire zaKHmo.n se
aur hai kaun mire shahr me.n tere jaisaa
Muzammil Abbas Shajar
Sher
diyaa diye kaa ise tum ne naam hai yaaro
vagarna ye to mirii jho.npa.Dii kaa suuraj hai