SEARCH RESULTS
Showing search results for "naa-diida"
Sher MATCHES FOR "naa-diida"
Sher
paiGaam zindagii ne diyaa maut kaa mujhe
marne ke intizaar me.n jiinaa pa.Daa mujhe
Safi Lakhnavi
Sher
aaKHirii vaqt talak saath andhero.n ne diyaa
raas aate nahii.n duniyaa ke ujaale mujh ko
Danish Aligarhi
Sher
agar badal na diyaa aadmii ne duniyaa ko
to jaan lo ki yahaa.n aadmii kii KHair nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
phir tuu ne diyaa hai nayaa faasla mujhe
sar par abhii to pichhlii masaafat kii dhuul hai
Unknown
Sher
harf aane na diyaa ishq kii KHuddaarii par
kaam naakaam tamannaa se liyaa hai mai.n ne
Qamar Moradabadi
Sher
ik makaa.n aur bulandii pe banaane na diyaa
ham ko parvaaz kaa mauqa.a hii havaa ne na diyaa
Manzar Bhopali
Sher
is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko.ii nibaah rahaa ho raqiib se
Sahir Ludhianvi
Sher
phir is mazaaq ko jamhuuriyat kaa naam diyaa
hame.n Daraane lage vo hamaarii taaqat se
Nomaan Shauque
Sher
dil miraa jalva-e-aariz ne bahalne na diyaa
chandni-chowk se zaKHmii ko nikalne na diyaa
Unknown
Sher
dil kii choTo.n ne kabhii chain se rahne na diyaa
jab chalii sard havaa mai.n ne tujhe yaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
ishq me.n Gairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
varna kyaa baat thii kis baat ne rone na diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
do gha.Dii dard ne aa.nkho.n me.n bhii rahne na diyaa
ham to samjhe the bane.nge ye sahaare aa.nsuu
Hakeem Nasir
Sher
vasl kii raat KHushii ne mujhe sone na diyaa
mai.n bhii bedaar rahaa taale-e-bedaar ke saath
Jaleel Manikpuri
Sher
milaa to manzil-e-jaa.n me.n utaarne na diyaa
vo kho gayaa to kisii ne pukaarne na diyaa
Zafar Iqbal
Sher
shauq-e-behad ne kisii gaam Thaharne na diyaa
varna kis gaam miraa KHuun-e-tamannaa na hu.aa
Farhan Salim
Sher
ashk-e-Gam diida-e-pur-nam se sambhaale na ga.e
ye vo bachche hai.n jo maa.n baap se paale na ga.e
Meer Anees
Sher
apno.n ne nazar pherii to dil tuu ne diyaa saath
duniyaa me.n ko.ii dost mire kaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
mujh ko marne na diyaa sher utaare mujh par
ishq ne bas ye mire saath ri.aayat kii thii