SEARCH RESULTS
Showing search results for "naacho"
Sher MATCHES FOR "naacho"
Sher
ye vaaqi.a mirii aa.nkho.n ke saamne kaa hai
sharaab naach rahii thii gilaas baiThe rahe
Saeed Qais
Sher
na chalo mujh se tum raqiibo chaal
u.ngliyo.n par tumhe.n nachaa duu.ngaa
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
din raat yahaa.n putliyo.n kaa naach rahe hai
hairat hai ki tuu mahv-e-tamaashaa nahii.n hotaa
Shah Naseer
Sher
rakkhaa hai Thaur mujh ko kahrave ke naach ne
kuulhaa kahii.n ko jaave hai us kaa, kamar kahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
taa'liim-e-duKHtaraa.n se ye ummiid hai zaruur
naache dulhan KHushii se KHud apnii baraat me.n
Akbar Allahabadi
Sher
naache hai mohabbat kii ye sur taal pe KHud hii
dil ko ye hunar yaar sikhaayaa nahii.n jaataa