aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "naacho"
mai.n tujhe phuul kahuu.n aur kahuu.n bha.nvaro.n seaa.o us phuul kaa ras chuus ke naacho-jhuumomai.n tujhe sham.a kahuu.n aur kahuu.n parvaanoaa.o us sham.a ke ho.nTo.n ko KHushii se chuumo
merii palko.n ko mat dekhoin kaa uThnaa in kaa jhapaknaa jism kaa naa-mahsuus amal haimerii aa.nkho.n ko mat dekhoin kii oT me.n shaam-e-Gariibaa.n in kii aa.D me.n dasht-e-azal haimere chehre ko mat dekhois me.n ko.ii vaada-e-fardaa is me.n ko.ii aaj na kal haiab is dariyaa tak mat aa.o jis kii lahre.n TuuT chukii hai.nis siine se lau na lagaa.o jis kii nabze.n chhuuT chukii hai.nab mere qaatil ko chaahomeraa qaatil marham marham dariyaa dariyaa saahil saahilqaazi-e-shahr kaa maathaa chuumojis ke qalam me.n zahr-e-halaahal jis ke suKHan me.n lahn-e-halaahalab us raqs kii dhun pe naachojis kii giit pe luT gayaa qaazii jis kii lai par bik gayaa qaatil
munnii bolii pyaarii aashaakitnii bholii merii gu.Diyaaachchhaa hai teraa bhii guDDaaho jaa.e dono.n kaa rishtaaashaa bolii gunjaa.ish hailekin merii farmaa.ish haihaathii luu.ngii gho.De luu.ngiimai.n kap.De sau jo.De luu.ngiiT.V coolar aur ik motorsone aur chaa.ndii ke zevardene ho.nge moTe paisemilte hai.n seTho.n ko jaisemehmaano.n kii KHaatir achchhiimaano jab ye baat hai pakkiimunnii kaa to jii ghabraayaaaa.nsuu Tapke sar chakraayaaphir vo bolii jaa.o jaa.oDuubegii kaaGaz kii naavlaalach kaa phal jis ne khaayaaroyaa aaKHir vo pachhtaayaaaashaa bolii tum ho paagalnaahaq hii hotii ho be-kalbaate.n hai.n ye bahkii bahkiimere dil me.n laalach chhii-chhiimai.n ne tum ko yuu.nhii chhe.Daakyuu.n Duube ulfat kaa be.Daaterii gu.Diyaa merii gu.Diyaameraa guDDaa teraa guDDaapaise kii kaisii barbaadiishaadii hogii siidhii-saadiilaa.o jaldii sharbat laa.ojaa.o uchhlo naacho gaa.o
naacho gaa.o jashn manaa.okhelo kuudo mauj u.Daa.o
Dug Dug Dug Dug kartaa aayaabandar vaalaa bandar laayaahaath me.n ik moTaa saa Da.nDaaDanDe me.n ik laal saa jhanDaaka.ndhe par mailaa saa jholaapiichhe bandar bholaa bholaabandar ke saath ik bandariyaapahne hu.e ik laal ghagariyaakuucho.n baazaaro.n se guzartaachauk me.n aayaa Dug Dug kartaadekh ke kuchh logo.n kaa jamghaTus ne khel jamaayaa jhaT-paTjab logo.n ne gheraa baa.ndhaachhilne lagaa kaa.ndhe se kaa.ndhaale kar Da.nDaa rakh kar jhuulaabandar vaalaa ha.ns kar bolaanaacho beTaa naacho beTaabandar ne bhii jism sameTaaapne dono.n haath uThaa kargardan aur kuulhe maTkaa karjhijkaa aur na kuchh sharmaayaathirak thirak kar naach dikhaayaadekhiye ab sasuraal me.n jaanaaaur biivii ko saath me.n laanaabiivii pahle to sharmaa.iiphir vo chham-chham kar aa.iila.Dko.n ne bandar ko sataayaabandar ko bhii Gussa aayaajhapTaa un par Da.nDaa le karun ko Daraayaa bhapkii de karkar ke tamaashe aise aisesab logo.n se maa.nge paisevaqt abhii thaa ThanDaa ThanDaachaltaa banaa le jhuulaa Da.nDaa
ram aur jin kii KHaalii botaloaKHbaaro.n me.n chhape hu.e be-masraf lafzoesterpetiz-club ke phaTe puraane TickeTocoat ke collar ke afsurda tanhaa phuulotab record me.n sahme sahgal ke naGmodostiyo.n aur dushmaniyo.n ke zinda lamhokaa.npte ho.nTo.n par kumhlaate, moniikaa ke aaKHirii bosogheraa Daal ke mere gird kha.De ho jaa.onaacho gaa.o shor machaa.oaur mire siine par thak kar so jaa.o
zindagii kii nadii me.n nahaate hu.eKHauf khaate ho tumjab fanaa ke samundar me.n Gote lagaa.ogetab kyaa karogeso masnuu.ii ThanDak ke maare hu.emurda-KHaana-numaa band da.Dbe se niklojiyoaur saavan kii baarish me.n naachojiyo aur dekhoshumaalii pahaa.Do.n pe barfe.n pighalte hiisabze kaa joban cha.Dhaa haipapiihe ne aavaaz de karpukaaraa hai pii koso tum bhii pukaaro kisii kosunojab tumhaare lahuu me.n jamii barf pighlegiijharnaa bahegaato phir zindagii kii nadii aur fanaa kaa samundargale mil ke naache.ngetaaza ikaa.ii kii suuratuTho aur is lamha-e-jaa.n-fazaa ko paka.D lomabaadaa ko.ii lamha-e-jaa.n-gusil tum ko paa le
miTTii kii ye sundar kaayaa miTTii kii hii saarii maayaakankar patthar sonaa chaa.ndii solah aane miTTii kemiTTii ke sab chehre-mohre miTTii ke sab nange paa.nvmiTTii kii ye zulfe.n ghanerii sab ke shaane miTTii kemiTTii kii nannhii sii kyaarii miTTii kii mahkii phulvaariimiTTii ke ye phuul ye kaliyaa.n sab ke dahaane miTTii kemiTTii ke sab khet hamaare miTTii kii pagDanDii bhiimiTTii ke hariyaale paude daane daane miTTii kemiTTii ke sab panghaT apne miTTii kii sab sakhiyaa.nmiTTii ke chamkiile gagre kaun ye jaane miTTii kemiTTii kii maa.n bahne.n apnii miTTii ke hai.n bachche-baalejhuulaa jhuule.n sab miTTii kaa sab ke taraane miTTii kemiTTii kii sii mohnii suurat miTTii kii ye apnii gu.DiyaamiTTii ke sab dul.han duulhaa taane-baane miTTii kemiTTii ke sab daadii daadaa miTTii ke sab naanii naanaamiTTii ke sab aa.nkho.n vaale andhe kaane sab miTTii kemiTTii ke sab mahal do-mahle miTTii kii chhoTii sii kuTiyaamiTTii ke sab ye diye ye sham'e.n sab parvaane miTTii kemiTTii kii sab galiyaa.n apnii miTTii ke sab gaa.nv hamaaremiTTii ke sab shahr base hai.n sab viiraane miTTii kemiTTii ke sab saaqii-o-dilbar miTTii ke sab shiisha-o-saaGarmiTTii ke sab jaam-o-subuu hai.n sab paimaane miTTii kemiTTii ke sab devtaa devii miTTii ke sab girjaa masjidkyaa siitaa kyaa kaalii maataa sab afsaane miTTii kemiTTii kii miiThii sii bansii miTTii kii chanchal raadhaamiTTii se kirshan kanhaiyyaa sab ke gaane miTTii kemiTTii kaa baazaar lagaa hai kore kore se bartankis kii suraahii kis kaa pyaala sab paimaane miTTii kemiTTii ke chuulhe par naache so.ndhii roTii miTTii kiijo kuchh chakkii chaak me.n piise daane daane miTTii kemiTTii kii KHushbuu me.n basaa hai miTTii kaa ye zarra zarramiTTii ko miTTii hii pukaare hiile-bahaane miTTii kejhan-jhan jhan-jhan jhan-jhan bajtii kau.Dii miTTii kiikhan-khan khan-khan giit sunaate aane aane miTTii ketaak dhinnaa-dhin taak dhinnaa-dhin bolaa tabla miTTii kaanaacho naacho naacho naacho sab raqsaane miTTii kedhamaa-dhamaa dhuu dhamaa-dhamaa dhuu dhamkaa miTTii kaa taa.nDavus ke piichhe yaahuu yaahuu sab mastaane miTTii kedha.D-dha.D dha.D-dha.D dha.Dak rahii hai har har chhaatii miTTii kiisarsar sarsar sarak rahe hai.n saare shaane miTTii kemiTTii miTTii miTTii baaje baaje kuuch kaa naqqaaraaghar chal ghar chal ghar chal ghar chal o man-maane miTTii kemiTTii miTTii miTTii miTTii miTTii lorii gaatii haiso jaa so jaa so jaa so jaa o diivaane miTTii kemiTTii kii chaadar me.n chhupe.nge qabr banegii miTTii kii
shaam hu.ii to buu.Dhaa totaabargad kii Tahnii par baiThaasoch rahaa thaa ab kyaa hogaakhaane ko kyaa rakkhaa hogaaroTii halva yaad aataa thaachhat ka saaya yaad aataa thaatab vo jangal me.n chillaayaahaa.e a.ndheraa hone aayaaa.o bachcho khaa.o chuuriisab kii aadhii merii puuriichi.Diyaa.n us kii baate.n sun karha.nstii thii.n shaaKHo.n me.n chhup karaapas me.n kahtii thii.n ai biikaisaa halva duudh jalebiiaazaadii ke alag maze hai.njangal ke apne meve hai.nshaaKHo.n se taaza phal khaa.ochashme ke paanii me.n nahaa.onaacho gaa.o u.Dte jaa.oraat me.n Tahnii par so jaa.okhulii havaa.e.n khulii fazaa.e.nmiilo.n par phailaate jaa.e.nye sardii garmii barsaate.napne din hai.n apnii raate.njaltii dhuup aur ThanDaa saayachaa.nd sitaaro.n ka sarmaayajab tak jangal me.n rahnaa haiham is ke hai.n ye apnaa hai
daa.e.n baa.e.n uupar dekhaaek ik par phailaa kar dekhaatab u.D kar diivaar pe aayaabiibii jaan ne shor machaayaamu.nh khole daaman phailaa.ebachche dau.De dau.De aa.edaadaa aa.e pi.njraa le karKHaala-jaan maliida le karbaby rotii dhotii aa.iichumkaaraa aavaaz lagaa.iiaa jaa.o ab pyaare totemai.n to thak ga.ii rote rote2lekin buu.Dhaa ganjaa totaaitnaa bholaa kaise hotaaaazaadii se jaan chhu.Daataapi.njre me.n vaapas aa jaataau.D kar vo jangal me.n poh.nchaasab se uu.nchii shaaKH pe baiThaashaam hu.ii to buu.Dhaa totaabargad kii Tahnii par baiThaasoch rahaa thaa ab kyaa hogaakhaane ko kyaa rakkhaa hogaaroTii halva yaad aataa thaachhat kaa saaya yaad aataa thaatab vo jangal me.n chillaayaahaa.e a.ndheraa hone aayaaKHaala aa.o biibii aa.obhuuk lagii hai chuurii laa.oaa.o bachcho khaa.o chuuriisab kii aadhii merii puuriichi.Diyaa.n us kii baate.n sun karha.nstii thii.n shaaKHo.n me.n chhup karaapas me.n kahtii thii.n ai biikaisaa halva duudh jalebiiaazaadii ke alag maze hai.njangal ke apne meve hai.nshaaKHo.n se taaza phal khaa.ochashme ke paanii me.n nahaa.onaacho gaa.o u.Dte jaa.oraat me.n Tahnii par so jaa.okhulii havaa.e.n khulii fazaa.e.nmiilo.n par phailaate jaa.e.nye sardii garmii barsaate.napne din hai.n apnii raate.njaltii dhuup aur saaya saayachaa.nd sitaaro.n kaa sarmaayajab tak jangal me.n rahtaa haiham is ke hai.n ye apnaa hai
kab tak tum apnii aag me.n jalte rahogekab tak suunaa charaaG jaltaa rahekabhii tumhaare aa.ngan me.n bhii ko.ii utrelahuu ke charaaG jalaa.e hu.etumhaare saayo.n se bhii pyaar karetum puure chaa.nd ke saath gaa.oghup a.ndhere me.n bhii naachoye tamanna bhii puurii hoaur mai.n ye manzarraakh ke Dher seaur kabhiipaataal se dekhuu.n
jo zindagii ke na.e safar me.ntujhe kisii vaqt yaad aa.e.nto ek ik harf jii uThegaapahan ke anfaas kii qabaa.e.nudaas tanhaa.iyo.n ke lamho.nme.n naach uTThe.ngii ye apsaraa.e.nmujhe tire dard ke alaava bhiiaur dukh the ye maantaa huu.nhazaar Gam the jo zindagii kiitalaash me.n the ye jaantaa huu.nmujhe KHabar thii ki tere aa.nchal me.ndard kii ret chhaantaa huu.nmagar har ik baar tujh ko chhuu karye ret ra.ng-e-hinaa banii haiye zaKHm gulzaar ban ga.e hai.nye aah-e-sozaa.n ghaTaa banii haiye dard mauj-e-sabaa hu.aa haiye aag dil kii sadaa banii haiaur ab ye saarii mataa-e-hastiiye phuul ye zaKHm sab tire hai.nye dukh ke nauhe ye sukh ke naGmejo kal mire the vo ab tire hai.njo terii qurbat tirii judaa.iime.n kaT ga.e roz-o-shab tire hai.nvo teraa shaa.ir tiraa muGanniivo jis kii baate.n ajiib sii thii.nvo jis ke andaaz KHusravaana theaur adaa.e.n Gariib sii thii.nvo jis ke jiine kii KHvaahishe.n bhiiKHud us ke apne nasiib sii thii.nna puuchh is kaa ki vo divaanabahut dino.n kaa uja.D chukaa haivo kohkan to nahii.n thaa lekinka.Dii chaTaano.n se la.D chukaa haivo thak chukaa thaa aur us kaa teshausii ke siine me.n ga.D chukaa hai
ta.amiir ke raushan chehre par taKHriib kaa baadal phail gayaahar gaa.nv me.n vahshat naach uThii har shahr me.n jangal phail gayaa
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
qalb o nazar kii zindagii dasht me.n sub.h kaa samaa.nchashma-e-aaftaab se nuur kii naddiyaa.n ravaa.n!husn-e-azal kii hai numuud chaak hai parda-e-vajuuddil ke liye hazaar suud ek nigaah kaa ziyaa.n!surKH o kabuud badliyaa.n chho.D gayaa sahaab-e-shab!koh-e-izam ko de gayaa ra.ng-ba-ra.ng tailisaa.n!gard se paak hai havaa barg-e-naKHiil dhul ga.ereg-e-navaah-e-kaazima narm hai misl-e-parniyaa.naag bujhii hu.ii idhar, TuuTii hu.ii tanaab udharkyaa KHabar is maqaam se guzre hai.n kitne kaarvaa.naa.ii sadaa-e-jibra.iil teraa maqaam hai yahiiahl-e-firaaq ke liye aish-e-davaam hai yahiikis se kahuu.n ki zahr hai mere liye mai-e-hayaatkohna hai baz-e-kaa.inaat taaza hai.n mere vaardaat!kyaa nahii.n aur Gaznavii kaargah-e-hayaat me.nbaiThe hai.n kab se muntazir ahl-e-haram ke somnaat!zikr-e-arab ke soz me.n, fikr-e-ajam ke saaz me.nne arabii mushaahidaat, ne ajamii taKHaiyyulaatqaafilaa-e-hijaaz me.n ek husain bhii nahii.ngarche hai taab-daar abhii gesuu-e-dajla-o-furaat!aql o dil o nigaah kaa murshid-e-avvalii.n hai ishqishq na ho to shar-o-dii.n butkada-e-tasavvuraat!sidq-e-KHaliil bhii hai ishq sabr-e-husain bhii hai ishq!ma.arka-e-vajuud me.n badr o hunain bhii hai ishq!aaya-e-kaa.enaat kaa ma.anii-e-der-yaab tuu!nikle tirii talaash me.n qaafila-haa-e-ra.ng-o-buu!jalvatiyaan-e-madrasa kor-nigaah o murda-zauqjalvatyaan-e-maikada kam-talab o tahii-kaduu!mai.n ki mirii Gazal me.n hai aatish-e-rafta kaa suraaGmerii tamaam sarguzisht kho.e hu.o.n kii justujuu!baad-e-sabaa kii mauj se nash-o-numaa-e-KHaar-o-KHas!mere nafas kii mauj se nashv-o-numaa-e-aarzuu!KHuun-e-dil o jigar se hai merii navaa kii parvarishhai rag-e-saaz me.n ravaa.n saahib-e-saaz kaa lahuu!fursat-e-kashmukash me.n ii.n dil be-qaraar raayak do shikan zyaada kun gesuu-e-taabdaar raalauh bhii tuu, qalam bhii tuu, teraa vajuud al-kitaab!gumbad-e-aabgiina-ra.ng tere muhiit me.n habaab!aalam-e-aab-o-KHaak me.n tere zuhuur se faroGzarra-e-reg ko diyaa tuu ne tuluu-e-aaftaab!shaukat-e-sanjar-o-saliim tere jalaal kii numuud!faqr-e-'juned'-o-'baayaziid' teraa jamaal be-naqaab!shauq tiraa agar na ho merii namaaz kaa imaammeraa qayaam bhii hijaab! meraa sujuud bhii hijaab!terii nigaah-e-naaz se dono.n muraad paa ga.eaql, Gayaab o justujuu ishq, huzuur o iztiraab!tiira-o-taar hai jahaa.n gardish-e-aaftaab se!tab-e-zamaana taaza kar jalva-e-be-hijaab se!terii nazar me.n hai.n tamaam mere guzishta roz o shabmujh ko KHabar na thii ki hai ilm-e-naKHiil be-rutab!taaza mire zamiir me.n ma.arka-e-kuhan hu.aa!ishq tamaam mustafaa! aql tamaam buu-lahab!gaah ba-hiila mii-barad, gaah ba-zor mii-kashadishq kii ibtidaa ajab ishq kii intihaa ajab!aalam-e-soz-o-saaz me.n vasl se ba.Dh ke hai firaaqvasl me.n marg-e-aarzuu! hijr me.n lazzat-e-talab!ain-e-visaal me.n mujhe hausla-e-nazar na thaagarche bahaana-juu rahii merii nigaah-e-be-adab!garmii-e-aarzuu firaaq! shorish-e-haa-o-huu firaaq!mauj kii justujuu firaaq! qatre kii aabruu firaaq!
tum bilkul ham jaise nikleab tak kahaa.n chhupe the bhaa.iivo muurakhtaa vo ghaama.D-panjis me.n ham ne sadii ga.nvaa.iiaaKHir pahu.nchii dvaar tuhaareare badhaa.ii bahut badhaa.iipret dharm kaa naach rahaa haiqaa.em hinduu raaj karogesaare ulTe kaaj karogeapnaa chaman taaraaj karogetum bhii baiThe karoge sochaapuurii hai vaisii tayyaariikaun hai hinduu kaun nahii.n haitum bhii karoge fatvaa jaariihogaa kaThin yahaa.n bhii jiinaadaa.nto.n aa jaa.egaa pasiinaajaisii-taisii kaTaa karegiiyahaa.n bhii sab kii saa.ns ghuTegiibhaa.D me.n jaa.e shikshaa-vikshaaab jaahil-pan ke gun gaanaaaage ga.Dhaa hai ye mat dekhovaapas laa.o gayaa zamaanamashq karo tum aa jaa.egaaulTe paa.nv chalte jaanaadhyaan na duujaa man me.n aa.ebas piichhe hii nazar jamaanaaek jaap saa karte jaa.obaaram-baar yahii doharaa.okaisaa viir mahaan thaa bhaaratkitnaa 'aalii-shaan thaa bhaaratphir tum log pahu.nch jaa.ogebas parlok pahu.nch jaa.ogeham to hai.n pahle se vahaa.n partum bhii samay nikaalte rahnaaab jis nark me.n jaa.o vahaa.n sechiTThii-viTThii Daalte rahnaa
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
vo merii maa.n mai.n kabhii jis kii piiTh par na cha.Dhaavo merii maa.n kabhii kuchh jis ke kaan me.n na rakhaavo maa.n kabhii jo mujhe kardhanii pinhaa na sakiijo taal haath se de kar mujhe nachaa na sakiijo mere haath se ik din davaa bhii pii na sakiiki mujh ko zindagii dene me.n jaan hii de diivo maa.n na dekh sakaa zindagii me.n jis kii chaahusii kii bhaTaktii hu.ii ruuh ko dikhaataa raah
jab aadmii ke peT me.n aatii hai.n roTiyaa.nphuulii nahii.n badan me.n samaatii hai.n roTiyaa.naa.nkhe.n parii-ruKHo.n se la.Daatii hai.n roTiyaa.nsiine upar bhii haath chalaatii hai.n roTiyaa.njitne maze hai.n sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se jis kaa naak talak peT hai bharaakartaa pare hai kyaa vo uchhal kuud jaa-ba-jaadiivaar phaa.nd kar ko.ii koThaa uchhal gayaaThaTThaa ha.nsii sharaab sanam saaqii is sivaasau sau tarah kii dhuum machaatii hai.n roTiyaa.njis jaa pe haa.nDii chuulhaa tavaa aur tanuur haiKHaaliq kii qudrato.n kaa usii jaa zuhuur haichuulhe ke aage aa.nch jo chaltii huzuur haijitne hai.n nuur sab me.n yahii KHaas nuur haiis nuur ke sabab nazar aatii hai.n roTiyaa.naave tave tanuur kaa jis jaa zabaa.n pe naamyaa chakkii chuulhe ke jahaa.n gulzaar ho.n tamaamvaa.n sar jhukaa ke kiije Da.nDvat aur salaamis vaaste ki KHaas ye roTii ke hai.n maqaampahle inhii.n makaano.n me.n aatii hai.n roTiyaa.nin roTiyo.n ke nuur se sab dil hai.n bor boraaTaa nahii.n hai chhalnii se chhan-chhan gire hai nuurpe.Daa har ek us kaa hai barfii o motii chuurhargiz kisii tarah na bujhe peT kaa tanuuris aag ko magar ye bujhaatii hai.n roTiyaa.npuuchhaa kasii ne ye kisii kaamil faqiir seye mehr-o-maah haq ne banaa.e hai.n kaahe kevo sun ke bolaa baabaa KHudaa tujh ko KHair deham to na chaa.nd samjhe.n na suuraj hai.n jaantebaabaa hame.n to ye nazar aatii hai.n roTiyaa.nphir puuchhaa us ne kahiye ye hai dil kaa tuur kyaais ke mushaahide me.n hai khultaa zuhuur kyaavo bolaa sun ke teraa gayaa hai shu.uur kyaakashf-ul-quluub aur ye kashf-ul-qubuur kyaajitne hai.n kashf sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii jab aa.ii peT me.n sau qand ghul ga.egulzaar phuule aa.nkho.n me.n aur aish tul ga.edo tar nivaale peT me.n jab aa ke Dhul ga.echaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul ga.eye kashf ye kamaal dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii na peT me.n ho to phir kuchh jatan na homele kii sair KHvaahish-e-baaG-o-chaman na hobhuuke Gariib dil kii KHudaa se lagan na hosach hai kahaa kasii ne ki bhuuke bhajan na hoallaah kii bhii yaad dilaatii hai.n roTiyaa.nab aage jis ke maal-puu.e bhar ke thaal hai.npuure bhagat unhe.n kaho saahab ke laal hai.naur jin ke aage roGnii aur shiir-maal hai.naarif vahii hai.n aur vahii saahab-kamaal hai.npakkii-pakaa.ii ab jinhe.n aatii hai.n roTiyaa.nkap.De kisii ke laal hai.n roTii ke vaastelambe kisii ke baal hai.n roTii ke vaastebaa.ndhe ko.ii rumaal hai.n roTii ke vaastesab kashf aur kamaal hai.n roTii ke vaastejitne hai.n ruup sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se naache pyaada qavaa.ed dikhaa dikhaaasvaar naache gho.De ko kaava lagaa lagaaghu.nghruu ko baa.ndhe paik bhii phirtaa hai naachtaaaur is sivaa jo Gaur se dekhaa to jaa-ba-jaasau sau tarah ke naach dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii ke naach to hai.n sabhii KHalq me.n pa.Dekuchh bhaa.nD bhiigte ye nahii.n phirte naachteye ranDiyaa.n jo naache hai.n ghuu.nghaT ko mu.nh pe leghuu.nghaT na jaano dosto tum ziinhaar useis parde me.n ye apne kamaatii hai.n roTiyaa.nashraafo.n ne jo apnii ye zaate.n chhupaa.ii hai.nsach puuchhiye to apnii ye shaane.n ba.Dhaa.ii hai.nkahiye unho.n kii roTiyaa.n kis kis ne khaa.ii hai.nashraaf sab me.n kahiye to ab naan-baa.ii hai.njin kii dukaa.n se har kahii.n jaatii hai.n roTiyaa.nduniyaa me.n ab badii na kahii.n aur niko.ii haiyaa dushmanii o dostii yaa tund-KHuu.ii haiko.ii kisii kaa aur kisii kaa na ko.ii haisab ko.ii hai usii kaa ki jis haath Do.ii hainaukar nafar Gulaam banaatii hai.n roTiyaa.nroTii kaa ab azal se hamaaraa to hai KHamiirruukhii hii roTii haq me.n hamaare hai shahd-o-shiiryaa patlii hove moTii KHamiirii ho yaa fatiirgehuu.n javaar baajre kii jaisii ho 'naziir'ham ko to sab tarah kii KHush aatii hai.n roTiyaa.n
ho naach ra.ngiilii pariyo.n kaa baiThe ho.n gul-ruu ra.ng-bharekuchh bhiigii taane.n holii kii kuchh naaz-o-adaa ke Dha.ng-bharedil bhuule dekh bahaaro.n ko aur kaano.n me.n aaha.ng bharekuchh table kha.Dke.n ra.ng-bhare kuchh aish ke dam mu.nh-cha.ng bhare
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books