lamha
zindagī kī nadī meñ nahāte hue
ḳhauf khāte ho tum
jab fanā ke samundar meñ ġhote lagāoge
tab kyā karoge
so masnūī ThanDak ke maare hue
murda-ḳhāna-numā band daḌbe se niklo
jiyo
aur sāvan kī bārish meñ nācho
jiyo aur dekho
shumālī pahāḌoñ pe barfeñ pighalte hī
sabze kā joban chaḌhā hai
papīhe ne āvāz de kar
pukārā hai pī ko
so tum bhī pukāro kisī ko
suno
jab tumhāre lahū meñ jamī barf pighlegī
jharnā bahegā
to phir zindagī kī nadī aur fanā kā samundar
gale mil ke nācheñge
taaza ikaa.ī kī sūrat
uTho aur is lamha-e-jāñ-fazā ko pakaḌ lo
mabādā koī lamha-e-jāñ-gusil tum ko pā le
zindagi ki nadi mein nahate hue
KHauf khate ho tum
jab fana ke samundar mein ghote lagaoge
tab kya karoge
so masnui ThanDak ke mare hue
murda-KHana-numa band daDbe se niklo
jiyo
aur sawan ki barish mein nacho
jiyo aur dekho
shumali pahaDon pe barfen pighalte hi
sabze ka joban chaDha hai
papihe ne aawaz de kar
pukara hai pi ko
so tum bhi pukaro kisi ko
suno
jab tumhaare lahu mein jami barf pighlegi
jharna bahega
to phir zindagi ki nadi aur fana ka samundar
gale mil ke nachenge
taza ikai ki surat
uTho aur is lamha-e-jaan-faza ko pakaD lo
mabaada koi lamha-e-jaan-gusil tum ko pa le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.